tyag
chup chup apne chup begāne narsinghe ḳhāmosh
apnī rekhā lekh kī haanī yā karmoñ kā dosh
āshāoñ kī phulvārī meñ phūTī kaḌvī bel
pāle-pose bin lahrā.ī alhaḌ aur anel
prem latā kī sundartā meñ jaag uThe armān
apne parā.e sājan ban kar aa.e nazar insān
kaḌvī bel meñ baiThe phal aane kī jab rut aa.ī
bāje-gāje guuñj uThe aur bajne lagī shahnā.ī
maañ mausī aur sañg sakhiyoñ ne shugūn shugūn manā.e
Domīnoñ ne rañg rachāyā chhelab sohle gaa.e
shubh din aayā aaj sakhī rī
shubh din aayā aaj
chākar ban kar aa.e khaḌe haiñ
dekh sakhī tū raaj
mere liye ye dilkash sohle bin ga.e ronā raag
shahnā.ī meñ Duub gayā jab us kā aap tyaag
jīvan pag par pahle Dag meñ dekh ke apnī ThoḌ
pallū thaam kar chalī bāvrī haath parā.e Dor
chup chup apne chup begane narsinghe KHamosh
apni rekha lekh ki hani ya karmon ka dosh
aashaon ki phulwari mein phuTi kaDwi bel
pale-pose bin lahrai alhaD aur anel
prem lata ki sundarta mein jag uThe arman
apne parae sajan ban kar aae nazar insan
kaDwi bel mein baiThe phal aane ki jab rut aai
baje-gaje gunj uThe aur bajne lagi shahnai
man mausi aur sang sakhiyon ne shugun shugun manae
Dominon ne rang rachaya chhelab sohle gae
shubh din aaya aaj sakhi ri
shubh din aaya aaj
chaakar ban kar aae khaDe hain
dekh sakhi tu raj
mere liye ye dilkash sohle bin gae rona rag
shahnai mein Dub gaya jab us ka aap tyag
jiwan pag par pahle Dag mein dekh ke apni ThoD
pallu tham kar chali bawri hath parae Dor
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.