udas aankhon ki salgirah
ek nazm kahnī hai
do udaas āñkhoñ par
jaise gul khilānā ho
zard zard shāḳhoñ par
mere kāsa-e-fan meñ TūTe-phūTe misre haiñ
aur dastaras meñ dost kuchh ḳhayāl dhundhle hai
aur un ḳhayāloñ meñ ek iltijā bhī hai
iltijā bhī itnī bas
hoñToñ pe lagī chup ko aap taj diyā kiije
ek do mahīne meñ khul ke hañs liyā kiije
aur ye bhī kahnā hai
jis jagah qadam rakkheñ vo jahāñ mubārak ho
ik hasīn panchhī ko āsmāñ mubārak ho
saarī ḳhushiyāñ mil jaa.eñ jin pe aap kā haq ho
do udaas āñkhoñ ko janm din mubārak ho
ek nazm kahni hai
do udas aankhon par
jaise gul khilana ho
zard zard shaKHon par
mere kasa-e-fan mein TuTe-phuTe misre hain
aur dastaras mein dost kuchh KHayal dhundhle hai
aur un KHayalon mein ek iltija bhi hai
iltija bhi itni bas
honTon pe lagi chup ko aap taj diya kije
ek do mahine mein khul ke hans liya kije
aur ye bhi kahna hai
jis jagah qadam rakkhen wo jahan mubarak ho
ek hasin panchhi ko aasman mubarak ho
sari KHushiyan mil jaen jin pe aap ka haq ho
do udas aankhon ko janm din mubarak ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.