udas chand
āsmāñ par udaas baiThā chāñd
rāt-bhar taare gintā rahtā hai
chāhtā hai ke jhuk ke dhartī kī
chuum le ye chamaktī peshānī
aur hasrat nikāl le dil kī
kaun samjhā.e par dīvāne ko
ḳhvāhisheñ hasrateñ jo haiñ dil kī
ḳhvāhisheñ hasrateñ hī rahtī haiñ
ḳhvāhishoñ par chalā hai bas kis kā
hasrateñ kis ko raas aa.ī haiñ
aasman par udas baiTha chand
raat-bhar tare ginta rahta hai
chahta hai ke jhuk ke dharti ki
chum le ye chamakti peshani
aur hasrat nikal le dil ki
kaun samjhae par diwane ko
KHwahishen hasraten jo hain dil ki
KHwahishen hasraten hi rahti hain
KHwahishon par chala hai bas kis ka
hasraten kis ko ras aai hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.