udas chehre wali KHub-surat laDki ke liye ek nazm
restaurant kī rañgā-rañg raushniyoñ meñ
Duubā samar ke ḳhūb-sūrat giit kī maddham lai meñ
mere sāmne baiThī udaas chehre vaalī ai ḳhūb-sūrat laḌkī
ab pīchhe muḌ ke mat dekho
dekho to hamāre sāmne rāsta kitnā ḳhūb-sūrat hai
hamāre saroñ par sukh aur shāñtī kā kitnā gahrā bādal hai
ai udaas chehre vaalī ḳhūb-sūrat laḌkī
laao apnā chehra idhar laao
aur mujhe apnī āñkhoñ par hoñT rakhne do
maiñ tumhārī guzrī huī zindagī ke tamām aañsū
apne andar jazb kar lenā chāhtā huuñ
restaurant ki ranga-rang raushniyon mein
Duba samar ke KHub-surat git ki maddham lai mein
mere samne baiThi udas chehre wali ai KHub-surat laDki
ab pichhe muD ke mat dekho
dekho to hamare samne rasta kitna KHub-surat hai
hamare saron par sukh aur shanti ka kitna gahra baadal hai
ai udas chehre wali KHub-surat laDki
lao apna chehra idhar lao
aur mujhe apni aankhon par honT rakhne do
main tumhaari guzri hui zindagi ke tamam aansu
apne andar jazb kar lena chahta hun
- Book : siip-volume-46 (Pg. 166)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.