udas kohsar ke nauhe
puurā jism aur jaltā sūraj
puure jism aur jalte sūraj ke atrāf meñ
shorīda-sar vahshī paanī
dariyāoñ ko puure jism aur vahshī paanī achchhe lagte haiñ
donoñ par phailā kar uḌnā
saare rañg sajā kar uḌnā
titlī ko hamvār havā.eñ achchhī lagtī haiñ
ThanDī ret pe jism sunahrā
saañs se saañs kā rishta gahrā
tum māthe se māthā joḌe
merī saañs meñ saañs milā kar kis ḳhvāhish ke sach kā
jhilmil jhilmil aañsū DhūñDhtī ho
pirītam pītal ho, sonā ho
tundi-e-shauq meñ saare gahne achchhe lagte haiñ
pura jism aur jalta suraj
pure jism aur jalte suraj ke atraf mein
shorida-sar wahshi pani
dariyaon ko pure jism aur wahshi pani achchhe lagte hain
donon par phaila kar uDna
sare rang saja kar uDna
titli ko hamwar hawaen achchhi lagti hain
ThanDi ret pe jism sunahra
sans se sans ka rishta gahra
tum mathe se matha joDe
meri sans mein sans mila kar kis KHwahish ke sach ka
jhilmil jhilmil aansu DhunDhti ho
piritam pital ho, sona ho
tundi-e-shauq mein sare gahne achchhe lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.