udas kyon ho
udaas kyoñ ho
hameñ batāo
tumheñ udāsī kī ranjishoñ se rihā kareñge
agarche ham aise ḳhāk-zādoñ kī dastaras meñ shifā nahīñ hai
tumhāre zaḳhmoñ ko bhar de aisī davā nahīñ hai
magar ham aise ḳhudā-parastoñ kī dastaras meñ du'ā-e-kun hai
tumhāre haq meñ du'ā kareñge
udaas kyoñ ho
hameñ batāo
udas kyon ho
hamein batao
tumhein udasi ki ranjishon se riha karenge
agarche hum aise KHak-zadon ki dastaras mein shifa nahin hai
tumhaare zaKHmon ko bhar de aisi dawa nahin hai
magar hum aise KHuda-paraston ki dastaras mein du'a-e-kun hai
tumhaare haq mein du'a karenge
udas kyon ho
hamein batao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.