udasi
vo shaḳhs jis ko hañste hue ghar pasand the
vo shaḳhs jis ko bolte manzar pasand the
vo shaḳhs jis ke saath samay ḳhush-gavār thā
vo shaḳhs jaane kitne diloñ kā qarār thā
kuchh vaqt se vo hālat-e-duniyā se hai ḳhafā
ḳhushbū se rañj koh se dariyā se hai ḳhafā
āñkheñ udaas aisī ki māthe pe bal paḌeñ
afsurdagān-e-shahr ke aañsū nikal paḌeñ
duniyā meñ gum nahīñ hai ġham-e-zāt meñ hai gum
kaise batā.ūñ tum ko vo kis baat meñ hai gum
wo shaKHs jis ko hanste hue ghar pasand the
wo shaKHs jis ko bolte manzar pasand the
wo shaKHs jis ke sath samay KHush-gawar tha
wo shaKHs jaane kitne dilon ka qarar tha
kuchh waqt se wo haalat-e-duniya se hai KHafa
KHushbu se ranj koh se dariya se hai KHafa
aankhen udas aisi ki mathe pe bal paDen
afsurdagan-e-shahr ke aansu nikal paDen
duniya mein gum nahin hai gham-e-zat mein hai gum
kaise bataun tum ko wo kis baat mein hai gum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.