udaipur
shahr mash.hūr-e-zamāna dekhne aayā huuñ maiñ
rājdhānī terī rā.anā dekhne aayā huuñ maiñ
kyā kahūñ kaise kahūñ kyā dekhne aayā huuñ maiñ
dīdanī har ik nazāra dekhne aayā huuñ maiñ
sar-zamīn-e-padmanī gahvāra-e-pratāpī bhiim
rashk-e-firdaus-e-zamāna dekhne aayā huuñ maiñ
ḳhushnumā jhīloñ meñ larzāñ jin kā hai aks-e-jamīl
un hasīñ mahloñ kā naqsha dekhne aayā huuñ maiñ
ab bhī baaqī jis zamīñ par hai guzishta azmateñ
vo zamīñ bā-chashm-e-bīnī dekhne aayā huuñ maiñ
sarzamīñ vo jis meñ thiiñ ismat se arzāñ zindagī
kar ke patthar kā kaleja dekhne aayā huuñ maiñ
jis kī ḳhātir pī ga.e jām-e-shahādat sūrmā
rājputoñ kā vo ka.aba dekhne aayā huuñ maiñ
jis se baaqī aaj tak hai aan rājasthān kī
vo jamāl-e-husn-ārā dekhne aayā huuñ maiñ
sarzamīñ rañgī hai jin kī ḳhuuñ se haldī ghaaT kī
un kī ummīdoñ kī duniyāñ dekhne aayā huuñ maiñ
us kī miTTī meñ havā meñ aab meñ kohsār meñ
shān-e-ḳhuddārī kā jalva dekhne aayā huuñ maiñ
thī fazā maḳhmūr jin se apne bachpan kī 'habīb'
un hasīñ ḳhvāboñ kī duniyā dekhne aayā huuñ maiñ
shahr mashhur-e-zamana dekhne aaya hun main
rajdhani teri raana dekhne aaya hun main
kya kahun kaise kahun kya dekhne aaya hun main
didani har ek nazara dekhne aaya hun main
sar-zamin-e-padmani gahwara-e-pratapi bhim
rashk-e-firdaus-e-zamana dekhne aaya hun main
KHushnuma jhilon mein larzan jin ka hai aks-e-jamil
un hasin mahlon ka naqsha dekhne aaya hun main
ab bhi baqi jis zamin par hai guzishta azmaten
wo zamin ba-chashm-e-bini dekhne aaya hun main
sarzamin wo jis mein thin ismat se arzan zindagi
kar ke patthar ka kaleja dekhne aaya hun main
jis ki KHatir pi gae jam-e-shahadat surma
rajputon ka wo kaba dekhne aaya hun main
jis se baqi aaj tak hai aan rajasthan ki
wo jamal-e-husn-ara dekhne aaya hun main
sarzamin rangi hai jin ki KHun se haldi ghaT ki
un ki ummidon ki duniyan dekhne aaya hun main
us ki miTTi mein hawa mein aab mein kohsar mein
shan-e-KHuddari ka jalwa dekhne aaya hun main
thi faza maKHmur jin se apne bachpan ki 'habib'
un hasin KHwabon ki duniya dekhne aaya hun main
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 93)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.