uf ye pabandiyan
ThanDā ThanDā rahne do nā
tub meñ baiThā rahne do nā
paanī bahtā rahne do nā
nā beTā anmol hai paanī
pāñch rūpa.e fī Dol hai paanī
nau ghanTe se gol hai paanī
jis ko khaltā hai khalne do
bhaTTī sā ghar mat jalne do
cōler pañkhe sab chalne do
kaisī ulTī mat hai samra
ye gandī aadat hai samra
bijlī kī qillat hai samra
is garmī kī aisī-taisī
pardesī ho car ki desī
bhayyā band na karnā A C
bachcho chhoḌo bachkāna-pan
band karo motor kā engine
tel bachat kā din hai aiman
ThanDa ThanDa rahne do na
tub mein baiTha rahne do na
pani bahta rahne do na
na beTa anmol hai pani
panch rupae fi Dol hai pani
nau ghanTe se gol hai pani
jis ko khalta hai khalne do
bhaTTi sa ghar mat jalne do
cooler pankhe sab chalne do
kaisi ulTi mat hai samra
ye gandi aadat hai samra
bijli ki qillat hai samra
is garmi ki aisi-taisi
pardesi ho car ki desi
bhayya band na karna A C
bachcho chhoDo bachkana-pan
band karo motor ka engine
tel bachat ka din hai aiman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.