ugta suraj
bam barsāo
aag lagāo
zahrīlī gaseñ phailāo
lāshoñ ke ambār lagāo
ugtī dhartī banjar kar do
inqalāb kī rāhguzar par
gahre gahre gaDDhe kar do
ūñche chamkīle parbat par
bārūdoñ kā bojh chaTaḳh do
vietnam ke har naake par
visphoToñ kā jaal bichhā do
lekin phir bhī
vietnam kā ugtā sūraj
tum se chaknā-chūr na hogā
bam barsao
aag lagao
zahrili gasen phailao
lashon ke ambar lagao
ugti dharti banjar kar do
inqalab ki rahguzar par
gahre gahre gaDDhe kar do
unche chamkile parbat par
barudon ka bojh chaTaKH do
wietnam ke har nake par
wisphoTon ka jal bichha do
lekin phir bhi
wietnam ka ugta suraj
tum se chakna-chur na hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.