ujala teri yaadon ka
ujālā terī yādoñ kā
mire atrāf hai phailā
isī kī raushnī se maiñ
hamārī zindagī kā
mohabbat kā vafāoñ kā
fasāna likhtī rahtī huuñ
kabhī fursat jo mil jaa.e
to aa ke is ko paḌh lenā
mirī bas itnī ḳhvāhish hai
yūñhī qaa.em rahe har dam
ujālā terī yādoñ kā
ujala teri yaadon ka
mere atraf hai phaila
isi ki raushni se main
hamari zindagi ka
mohabbat ka wafaon ka
fasana likhti rahti hun
kabhi fursat jo mil jae
to aa ke is ko paDh lena
meri bas itni KHwahish hai
yunhi qaem rahe har dam
ujala teri yaadon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.