ujale ki lakir
ik na.ī sub.h-e-daraḳhshāñ kā rūpahlā āñchal
apne hamrāh liye azm-e-javāñ kī tanvīr
sāqī-e-vaqt ke ruḳhsār pe lahrāyā hai
ye hai tārīk fazāoñ meñ ujāle kī lakīr
rāste par ka.ī ḳhurshīd na.e jal uTThe
raushnī dekhiye tā-hadd-e-nazar phail ga.ī
āsmānoñ ko zamīnoñ ko na.e rang mile
aur fazā nik.hat-o-ra.anā.ī se ma.amūr huī
har nafas apnā umangoñ kī hai tafsīr na.ī
aaj har saañs se be-bāk irāde haiñ ayaañ
ab ke taz.īn-e-chaman hogī lahū kī surḳhī
fasl-e-gul ab ke na.e jalve bikheregī yahāñ
dosto ham-nafaso jidd-o-jahd tez karo
be-navāoñ ke liye tarz-e-fuġhāñ ban jaao
phir se qindīl vafāoñ kī jalāo hamdam
aaj ehsās ke ā.īnoñ ko phir chamkāo
vaqt kī gard chhaTegī to ba-unvān-e-sahar
manzil-e-shauq kī rāhoñ kā ta.ayyun hogā
ik na.e daur kī ta.amīr kareñge ham sab
chāñd tāroñ se sajā apnā nasheman hogā
ek nai subh-e-daraKHshan ka rupahla aanchal
apne hamrah liye azm-e-jawan ki tanwir
saqi-e-waqt ke ruKHsar pe lahraya hai
ye hai tarik fazaon mein ujale ki lakir
raste par kai KHurshid nae jal uTThe
raushni dekhiye ta-hadd-e-nazar phail gai
aasmanon ko zaminon ko nae rang mile
aur faza nikhat-o-ranai se mamur hui
har nafas apna umangon ki hai tafsir nai
aaj har sans se be-bak irade hain ayan
ab ke tazin-e-chaman hogi lahu ki surKHi
fasl-e-gul ab ke nae jalwe bikheregi yahan
dosto ham-nafaso jidd-o-jahd tez karo
be-nawaon ke liye tarz-e-fughan ban jao
phir se qindil wafaon ki jalao hamdam
aaj ehsas ke aainon ko phir chamkao
waqt ki gard chhaTegi to ba-unwan-e-sahar
manzil-e-shauq ki rahon ka tayyun hoga
ek nae daur ki tamir karenge hum sab
chand taron se saja apna nasheman hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.