uktahaT
mere jism meñ udāsī kī miqdār baḌh chukī hai
ab maiñ kisī māhir-e-ehsāsāt kī
talāsh meñ huuñ jo mujhe batā.e ki
kitne decibel zor se chīḳhūñ
taaki merī āvāz us tak pahuñch sake
kitne kilometer fī ghanTe kī
raftār se royā jaa.e
taaki mere aañsū us tak pahuñch sakeñ
bāzāroñ meñ rush hai magar maiñ akelā huuñ
log bahre ho chuke haiñ kyoñ ki ye
merī chīḳheñ nahīñ sun pā rahe
niiñd kī goliyāñ mujh se uktā chukī haiñ
ab bistar mujhe be-rahm nazroñ se dekhtā hai
mujhe ḳhud se koī hamdardī nahīñ rahī
merī Diary meñ likhā ek ek jumla
mere ḳhuun thūkne ke baa'd vajūd meñ aaya hai
is se pahle ki maiñ ḳhud ko noch khā.ūñ
merī laash ko dafnā do
mere jism mein udasi ki miqdar baDh chuki hai
ab main kisi mahir-e-ehsasat ki
talash mein hun jo mujhe batae ki
kitne decibel zor se chiKHun
taki meri aawaz us tak pahunch sake
kitne kilometer fi ghanTe ki
raftar se roya jae
taki mere aansu us tak pahunch saken
bazaron mein rush hai magar main akela hun
log bahre ho chuke hain kyon ki ye
meri chiKHen nahin sun pa rahe
nind ki goliyan mujh se ukta chuki hain
ab bistar mujhe be-rahm nazron se dekhta hai
mujhe KHud se koi hamdardi nahin rahi
meri Diary mein likha ek ek jumla
mere KHun thukne ke ba'd wajud mein aaya hai
is se pahle ki main KHud ko noch khaun
meri lash ko dafna do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.