uktahaT
raushnī nahīñ hai duur duur tak
jaao mujh ko chhoḌ do
ḳhāmushī hai mai-kade se tuur tak
barbatoñ ko toḌ do
ye udaas raat kī siyāhiyāñ
niiñd aa ke Tal ga.ī
ye mire nasīb kī siyāhiyāñ
sham.a kab kī jal ga.ī
niiñd hai na chāñd hai na jaam hai
pyaas kyā bujhāoge
zindagī kī teġh be-niyām hai
aas kyā bañdhāoge
āsmāñ buland hai to kyā karūñ
haa.e merī pastiyāñ
kaash maiñ tumheñ kabhī dikhā sakūñ
kuchh ujaaḌ bastiyāñ
hasratoñ kā baaġh baaġh ujaḌ gayā
phuul ab khileñge kyā
ek ek ham-safar bichhaḌ gayā
dost ab mileñge kyā
mish.aleñ nahīñ to ye charāġh kyuuñ
raah bhuul jā.ūñgā
zindagī pe koī taaza daaġh kyuuñ
chaah bhuul jā.ūñgā
raushnī nahīñ hai duur duur tak
jaao mujh ko chhoḌ do
ḳhāmushī hai mai-kade se tuur tak
barbatoñ ko toḌ do
raushni nahin hai dur dur tak
jao mujh ko chhoD do
KHamushi hai mai-kade se tur tak
barbaton ko toD do
ye udas raat ki siyahiyan
nind aa ke Tal gai
ye mere nasib ki siyahiyan
shama kab ki jal gai
nind hai na chand hai na jam hai
pyas kya bujhaoge
zindagi ki tegh be-niyam hai
aas kya bandhaoge
aasman buland hai to kya karun
hae meri pastiyan
kash main tumhein kabhi dikha sakun
kuchh ujaD bastiyan
hasraton ka bagh bagh ujaD gaya
phul ab khilenge kya
ek ek ham-safar bichhaD gaya
dost ab milenge kya
mishalen nahin to ye charagh kyun
rah bhul jaunga
zindagi pe koi taza dagh kyun
chah bhul jaunga
raushni nahin hai dur dur tak
jao mujh ko chhoD do
KHamushi hai mai-kade se tur tak
barbaton ko toD do
- Book : kalam-e-qateel shifai (Pg. 59)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.