ulfat ka shikwa
tirī duniyā meñ rah kar kyā kareñge
ḳhudāyā umr bhar royā kareñge
mohabbat kā gila ulfat kā shikva
pata kyā thā kahīñ aisā kareñge
rahī jab na ḳhushī kī zindagī gar
phir aisī zindagī ko kyā kareñge
luTā thā qāfila dil kā hamārā
milegā kyā jo ham charchā kareñge
jigar meñ dard lab par haa.e haa.e
bhalā is tarah jī kar kyā kareñge
koī kaunain kī daulat se bhī ham
mohabbat kā nahīñ saudā kareñge
nazar se ho to saktā hai pa nāshād
magar ham dil se kyā parda kareñge
teri duniya mein rah kar kya karenge
KHudaya umr bhar roya karenge
mohabbat ka gila ulfat ka shikwa
pata kya tha kahin aisa karenge
rahi jab na KHushi ki zindagi gar
phir aisi zindagi ko kya karenge
luTa tha qafila dil ka hamara
milega kya jo hum charcha karenge
jigar mein dard lab par hae hae
bhala is tarah ji kar kya karenge
koi kaunain ki daulat se bhi hum
mohabbat ka nahin sauda karenge
nazar se ho to sakta hai pa nashad
magar hum dil se kya parda karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.