uljhan
vyvasthā bhī bahut ziyāda nahīñ hai
jatan jokham bahut haiñ
aage jo jañgal hai vo
us se bhī ziyāda gunjalak hai
tapassyā ke Thikāne
gyaan ke mantar
dhyān kī har ek sīḌhī par
vahī mūrakh
ajab sā jaal taane baiThā hai yugoñ se
na jaane kyuuñ
mire rāvan se us ko
parāje kā ḳhatra hai
to yuuñ kartā huuñ
ab ke ḳhud ko ḳhud se tyaag detā huuñ
wywastha bhi bahut ziyaada nahin hai
jatan jokham bahut hain
aage jo jangal hai wo
us se bhi ziyaada gunjalak hai
tapassya ke Thikane
gyan ke mantar
dhyan ki har ek siDhi par
wahi murakh
ajab sa jal tane baiTha hai yugon se
na jaane kyun
mere rawan se us ko
paraje ka KHatra hai
to yun karta hun
ab ke KHud ko KHud se tyag deta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.