ek akahrā dūsrā dohrā tīsrā hai so tihrā hai
ek akahre par pal pal ko dhyān kā ḳhūnīñ pahra hai
dūsre dohre ke raste meñ tīsrā khel kā mohara hai
tīsrā tihra jo hai us kā sab se ujāgar chehra hai
goyā akahrā pahrā dohra mohrā tihrā chehra hai
ek akahrā kāġhaz dohrā tihrā ho kar naav banī
naav se pal bhar bachche bahle khel khel meñ ghaao banī
ghaao banī to dil meñ dhyān ye aayā kah deñ aao banī
ban ban kar jo khel bigaḌ jaate haiñ un kī baat nahīñ
koī janāza bhī ye nahīñ hai aur koī bārāt nahīñ
ye ik aisā din hai jis ke aage pīchhe raat nahīñ
tihre kī har tah meñ yuuñ to ek nayā hī chehrā hai
lekin har ek chehrā us bin khele khel kā mohrā hai
jis kā rañg akahrā hai
aage baat baḌhā.eñ kaise baat bane to baat baḌhe
ab tak rañg akahrā thā gar koī baḌhā to haath baḌhe
honī kī to riit yahī hai chhoTe din kī raat baḌhe
ab to jo bhī baḌhnā chāhe apne saath hī saath baḌhe
aage pīchhe dauḌ dauḌ kar ik aage ik pīchhe hai
pīchhe vaalā kaise baḌhe jab aage vaalā bhī dauḌe
donoñ choT barābar kī haiñ ye donoñ se kaun kahe
haar aur jiit isī meñ hai ab kaun ruke aur kaun baḌhe
ek akahra dusra dohra tisra hai so tihra hai
ek akahre par pal pal ko dhyan ka KHunin pahra hai
dusre dohre ke raste mein tisra khel ka mohara hai
tisra tihra jo hai us ka sab se ujagar chehra hai
goya akahra pahra dohra mohra tihra chehra hai
ek akahra kaghaz dohra tihra ho kar naw bani
naw se pal bhar bachche bahle khel khel mein ghao bani
ghao bani to dil mein dhyan ye aaya kah den aao bani
ban ban kar jo khel bigaD jate hain un ki baat nahin
koi janaza bhi ye nahin hai aur koi baraat nahin
ye ek aisa din hai jis ke aage pichhe raat nahin
tihre ki har tah mein yun to ek naya hi chehra hai
lekin har ek chehra us bin khele khel ka mohra hai
jis ka rang akahra hai
aage baat baDhaen kaise baat bane to baat baDhe
ab tak rang akahra tha gar koi baDha to hath baDhe
honi ki to rit yahi hai chhoTe din ki raat baDhe
ab to jo bhi baDhna chahe apne sath hi sath baDhe
aage pichhe dauD dauD kar ek aage ek pichhe hai
pichhe wala kaise baDhe jab aage wala bhi dauDe
donon choT barabar ki hain ye donon se kaun kahe
haar aur jit isi mein hai ab kaun ruke aur kaun baDhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.