uljhanen
zabāñ ko tarjumān-e-ġham banā.ūñ kis tarah 'kaifī'
maiñ barg-e-gul se añgāre uThā.ūñ kis tarah 'kaifī'
samajh meñ kis kī aa.e raaz mere hichkichāne kā
añdhere meñ chalā kartā hai har nāvak zamāne kā
nigāh-e-mast kī allāh-re ma.asūm tākīdeñ
mujhe hai hukm sāz-e-muflisī par gungunāne kā
maiñ sāz-e-muflisī par gungunā.ūñ kis tarah 'kaifī'
hañsī bhī merī nauha hai mirā naġhma bhī mātam hai
junūñ bhī mujh se barham hai ḳhirad bhī mujh se barham hai
sulagtā shauq pighalte valvale jaltī tamannā.eñ
zamīñ merī jahannam hai falak merā jahannam hai
ḳhayālī jannatoñ meñ baiTh jā.ūñ kis tarah 'kaifī'
ye tauq-e-bandagī vo phuul sī gardan ma.āz-allāh
vo shahd-ālūd lab aur talḳhī-e-shevan ma.āz-allāh
kamāl-e-husn aur ye inkisār-e-ishq are tauba
vo nāzuk haath merā gosha-e-dāman ma.āz-allāh
jhaTak kar gosha-e-dāman chhuḌā.ūñ kis tarah 'kaifī'
naved-e-sub.h suntā hī nahīñ rañgīn ḳhvāb us kā
ghirā jaatā hai zulmat-rez kirnoñ meñ shabāb us kā
mujhe fursat nahīñ rañgīniyoñ meñ Duub jaane kī
use detā ye dhokā e'tibār-e-intiḳhāb us kā
haqīqat mast ā.ankhoñ ko dikhā.ūñ kis tarah 'kaifī'
fanā meñ huzn-dīda zindagī zam hotī jaatī hai
thakī nabzoñ kī ḳhasta zarb maddham hotī jaatī hai
ye armānoñ kā mausam ye mirī girtī huī sehhat
añdherī raat aur lau sham.a kī kam hotī jaatī hai
shabistān-e-vafā ko jagmagā.ūñ kis tarah 'kaifī'
nirālī jast karnā hai na.e raste pe chalnā hai
na.e sho.aloñ meñ tapnā hai na.e sāñche meñ Dhalnā hai
yahī do chaar sāñseñ jo abhī mujh ko sambhāle haiñ
inhīñ do chaar sāñsoñ meñ zamāne ko badalnā hai
inheñ bhī sard gītoñ meñ gañvā.ūñ kis tarah 'kaifī'
pareshāñ qāfile ne ab nishāñ manzil kā paayā hai
dhuñdlakoñ ke udhar ik surḳh taarā jhilmilāyā hai
chale haiñ hāñpte insāñ na.ī duniyā basāne ko
bahut aise haiñ in meñ jin ko ḳhud maiñ ne baḌhāyā hai
maiñ ḳhud hī rāste se lauT aa.uuñ kis tarah 'kaifī'
zaban ko tarjuman-e-gham banaun kis tarah 'kaifi'
main barg-e-gul se angare uThaun kis tarah 'kaifi'
samajh mein kis ki aae raaz mere hichkichane ka
andhere mein chala karta hai har nawak zamane ka
nigah-e-mast ki allah-re masum takiden
mujhe hai hukm saz-e-muflisi par gungunane ka
main saz-e-muflisi par gungunaun kis tarah 'kaifi'
hansi bhi meri nauha hai mera naghma bhi matam hai
junun bhi mujh se barham hai KHirad bhi mujh se barham hai
sulagta shauq pighalte walwale jalti tamannaen
zamin meri jahannam hai falak mera jahannam hai
KHayali jannaton mein baiTh jaun kis tarah 'kaifi'
ye tauq-e-bandagi wo phul si gardan maaz-allah
wo shahd-alud lab aur talKHi-e-shewan maaz-allah
kamal-e-husn aur ye inkisar-e-ishq are tauba
wo nazuk hath mera gosha-e-daman maaz-allah
jhaTak kar gosha-e-daman chhuDaun kis tarah 'kaifi'
nawed-e-subh sunta hi nahin rangin KHwab us ka
ghira jata hai zulmat-rez kirnon mein shabab us ka
mujhe fursat nahin ranginiyon mein Dub jaane ki
use deta ye dhoka e'tibar-e-intiKHab us ka
haqiqat mast aaankhon ko dikhaun kis tarah 'kaifi'
fana mein huzn-dida zindagi zam hoti jati hai
thaki nabzon ki KHasta zarb maddham hoti jati hai
ye armanon ka mausam ye meri girti hui sehhat
andheri raat aur lau shama ki kam hoti jati hai
shabistan-e-wafa ko jagmagaun kis tarah 'kaifi'
nirali jast karna hai nae raste pe chalna hai
nae shoalon mein tapna hai nae sanche mein Dhalna hai
yahi do chaar sansen jo abhi mujh ko sambhaale hain
inhin do chaar sanson mein zamane ko badalna hai
inhen bhi sard giton mein ganwaun kis tarah 'kaifi'
pareshan qafile ne ab nishan manzil ka paya hai
dhundlakon ke udhar ek surKH tara jhilmilaya hai
chale hain hanpte insan nai duniya basane ko
bahut aise hain in mein jin ko KHud main ne baDhaya hai
main KHud hi raste se lauT aaun kis tarah 'kaifi'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.