umid
sūkhe peḌ kī nañgī Daalī
tez havā meñ jhuul rahī hai
peḌ ke nīche
zard ghaas par
shabnam ke motī bikhre haiñ
duur falak par
āvāra bādal uḌte haiñ
sard havā.eñ chīḳh rahī haiñ
peḌ magar anjān khaḌā hai
nañgī Daalī
haath uThā.e
barkhā-rut ko bulā rahī hai
sukhe peD ki nangi Dali
tez hawa mein jhul rahi hai
peD ke niche
zard ghas par
shabnam ke moti bikhre hain
dur falak par
aawara baadal uDte hain
sard hawaen chiKH rahi hain
peD magar anjaan khaDa hai
nangi Dali
hath uThae
barkha-rut ko bula rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.