ummid ke karishme
jab koī naav Dagmagātī hai
aas jab dil kī TuuT jaatī hai
sab ḳhudā.ī nazar phirātī hai
sirf ummīd kaam aatī hai
ye agar dil se kuuch kar jaa.e
aadmī tilmilā ke mar jaa.e
zindagī kī bahār hai ummīd
aatmā kī pukār hai ummīd
hamdam-o-ġham-gusār hai ummīd
jān-o-dil kā ubhār hai ummīd
man meñ aashā guzar jo kartī hai
Dūbtī nabz bhī ubhartī hai
zindagī kā hai aasrā ummīd
ek jīvan hai ḳhushnumā ummīd
kāmyābī kā rāsta ummīd
mar gayā vo huā jo nā-ummīd
aas rakhnā hī dūr-bīnī hai
raat ke baa'd din yaqīnī hai
aas jab dil ko gudgudātī hai
ruuh ko niiñd se jagātī hai
jhoñpaḌoñ ko mahal banātī hai
jangaloñ meñ bahār laatī hai
aadmī ko ye zindagānī hai
zindagānī kī ye javānī hai
sirf ummīd ke bharose par
chal rahā hai hayāt kā chakkar
baiTh rahte haiñ log jab thak kar
ye baḌhātī hai himmateñ aksar
quvvatoñ par shabāb aatā hai
zo.af tharrā ke bhaag jaatā hai
le ke ummīd kā diyā maalī
baaġh kī kar rahā hai rakhvālī
garche phūloñ se hai chaman ḳhālī
aas ne jī meñ jaan hai Daalī
garm jhoñke jo dil jalāte haiñ
phuul aashā ke man lubhāte haiñ
dhuup meñ ek ġham-zada mazdūr
belcha haath meñ thakan se chuur
apnī mehnat se hai bahut masrūr
hai suhānī umang se bharpūr
muskurātā hai baar baar aise
lahlahātī haiñ khetiyāñ jaise
thak ke hotā hai past jab nā-chār
baiTh jaatā hai haañp kar ik baar
aas kahtī hai yuuñ na himmat haar
haañ kamar kas ke jald hoshiyār
uTh ke vo poñchh kar pasīne ko
taan letā hai apne siine ko
ek dukhiyā ġharīb dukhiyārī
jaatī hai apne laal par vaarī
chakkiyāñ piis kar ba-dushvārī
pāltī hai use vo bechārī
us kī aashā hai naunihāl us kā
motiyoñ se sivā hai laal us kā
ek būḌhā marīz hai lāchār
phir bhī vo jaan se nahīñ bezār
aas himmat bañdhātī hai har baar
khol detā hai aañkh vo bīmār
zindagī jab javāb detī hai
aas fauran sañbhāl letī hai
al-ġharaz sab kī hai na.ī ummīd
aadmī kī hai zindagī ummīd
zinda-dil vo hai jis ne kī ummīd
jī kī sāthī hai vāqa.ī ummīd
ye agar zindagī meñ kho jaa.e
marnā jiinā azaab ho jaa.e
is se to ek dil nahīñ ḳhālī
sab ke jī meñ basī hai matvālī
hai ye fitrat kī god kī paalī
kāmyābī ke peḌ kī Daalī
dil ke ākāsh kā sitārā hai
sab ke jīvan kā ye sahārā hai
is ko hai ān-bān kī ummīd
is ko shāhī nishān kī ummīd
kuchh anokhī javān kī ummīd
sab se pyārī kisān kī ummīd
aas meñ dukh pe dukh uThātā hai
giit gā gā ke hal chalātā hai
ḳhushk hoñ jabki naddiyāñ naale
hoñ hare khet sūkhne vaale
dhuup meñ hote hoñ hiran kaale
balki paḌ jaa.eñ jaan ke laale
TūTtī hai jahān kī ummīd
par bañdhī hai kisān kī ummīd
us kī aashā bahār kī ummīd
bādaloñ ke nikhār kī ummīd
mausam-e-ḳhush-gavār kī ummīd
halkī halkī phuhār kī ummīd
us kī aashā pe khetiyāñ qaa.em
us kī ummīd par jahāñ qaa.em
ġham kare kis liye udaas hameñ
kāmyābī kī jab hai aas hameñ
mehnatoñ se nahīñ hirās hameñ
apnī ummīd kā hai paas hameñ
kitnī sundar hai kyā suhānī hai
dil kī malika hai man kī raanī hai
jab koi naw Dagmagati hai
aas jab dil ki TuT jati hai
sab KHudai nazar phiraati hai
sirf ummid kaam aati hai
ye agar dil se kuch kar jae
aadmi tilmila ke mar jae
zindagi ki bahaar hai ummid
aatma ki pukar hai ummid
hamdam-o-gham-gusar hai ummid
jaan-o-dil ka ubhaar hai ummid
man mein aasha guzar jo karti hai
Dubti nabz bhi ubharti hai
zindagi ka hai aasra ummid
ek jiwan hai KHushnuma ummid
kaamyabi ka rasta ummid
mar gaya wo hua jo na-ummid
aas rakhna hi dur-bini hai
raat ke ba'd din yaqini hai
aas jab dil ko gudgudati hai
ruh ko nind se jagati hai
jhonpaDon ko mahal banati hai
jangalon mein bahaar lati hai
aadmi ko ye zindagani hai
zindagani ki ye jawani hai
sirf ummid ke bharose par
chal raha hai hayat ka chakkar
baiTh rahte hain log jab thak kar
ye baDhati hai himmaten aksar
quwwaton par shabab aata hai
zoaf tharra ke bhag jata hai
le ke ummid ka diya mali
bagh ki kar raha hai rakhwali
garche phulon se hai chaman KHali
aas ne ji mein jaan hai Dali
garm jhonke jo dil jalate hain
phul aasha ke man lubhate hain
dhup mein ek gham-zada mazdur
belcha hath mein thakan se chur
apni mehnat se hai bahut masrur
hai suhani umang se bharpur
muskuraata hai bar bar aise
lahlahati hain khetiyan jaise
thak ke hota hai past jab na-chaar
baiTh jata hai hanp kar ek bar
aas kahti hai yun na himmat haar
han kamar kas ke jald hoshiyar
uTh ke wo ponchh kar pasine ko
tan leta hai apne sine ko
ek dukhiya gharib dukhiyari
jati hai apne lal par wari
chakkiyan pis kar ba-dushwari
palti hai use wo bechaari
us ki aasha hai naunihaal us ka
motiyon se siwa hai lal us ka
ek buDha mariz hai lachaar
phir bhi wo jaan se nahin bezar
aas himmat bandhati hai har bar
khol deta hai aankh wo bimar
zindagi jab jawab deti hai
aas fauran sanbhaal leti hai
al-gharaz sab ki hai nai ummid
aadmi ki hai zindagi ummid
zinda-dil wo hai jis ne ki ummid
ji ki sathi hai waqai ummid
ye agar zindagi mein kho jae
marna jina azab ho jae
is se to ek dil nahin KHali
sab ke ji mein basi hai matwali
hai ye fitrat ki god ki pali
kaamyabi ke peD ki Dali
dil ke aakash ka sitara hai
sab ke jiwan ka ye sahaara hai
is ko hai aan-ban ki ummid
is ko shahi nishan ki ummid
kuchh anokhi jawan ki ummid
sab se pyari kisan ki ummid
aas mein dukh pe dukh uThata hai
git ga ga ke hal chalata hai
KHushk hon jabki naddiyan nale
hon hare khet sukhne wale
dhup mein hote hon hiran kale
balki paD jaen jaan ke lale
TuTti hai jahan ki ummid
par bandhi hai kisan ki ummid
us ki aasha bahaar ki ummid
baadalon ke nikhaar ki ummid
mausam-e-KHush-gawar ki ummid
halki halki phuhaar ki ummid
us ki aasha pe khetiyan qaem
us ki ummid par jahan qaem
gham kare kis liye udas hamein
kaamyabi ki jab hai aas hamein
mehnaton se nahin hiras hamein
apni ummid ka hai pas hamein
kitni sundar hai kya suhani hai
dil ki malika hai man ki rani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.