ummid
zindagī ajab hai
phir bhī apne paas
maut ko
phaTakne nahīñ detī
jab ki haath mahrūm haiñ
rozgār se
peT daane se
aur sar āsare se
saḳht-jān zindagī
hazār baar
mar kar bhī
zinda rahtī hai
ummīd ke ujāloñ meñ
ūñchī uḌānoñ meñ
apne aap se
jhuñjhtī huī
ki haqīqat meñ
jise kahte haiñ zindagī
hameñ bhī
hāsil ho ga.ī kabhī to
bas ye jazba
na kabhī marne paa.e
zindagi ajab hai
phir bhi apne pas
maut ko
phaTakne nahin deti
jab ki hath mahrum hain
rozgar se
peT dane se
aur sar aasare se
saKHt-jaan zindagi
hazar bar
mar kar bhi
zinda rahti hai
ummid ke ujalon mein
unchi uDanon mein
apne aap se
jhunjhti hui
ki haqiqat mein
jise kahte hain zindagi
hamein bhi
hasil ho gai kabhi to
bas ye jazba
na kabhi marne pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.