ummid meri shahzadi thi
ammī kī mohabbat miltī hai
abbū kī bhī shafqat miltī hai
ai maazī tire ik dāman se
kyā kyā mujhe daulat miltī hai
bachpan kā zamāna tujh meñ hai
har lamha suhānā tujh meñ hai
jo ḳhvāboñ ko dastak detā thā
vo ahd purānā tujh meñ hai
nākāmī na ye nā-shādī thī
be-fikrī thī āzādī thī
shahzāda thā maiñ armānoñ kā
ummīd mirī shahzādī thī
har kiina hasad se duur thā maiñ
har ādat-e-bad se duur thā maiñ
ma.asūm tabī.at thī merī
shaitān kī zad se duur thā maiñ
ye chāñd khilaunā thā merā
ik sapnā sunahrā thā merā
muTThī meñ thī duniyā band mirī
ye saarā zamāna thā merā
bachpan kā zamāna biit gayā
vo miit ga.e vo giit gayā
'shahzād' ab aksar sochtā huuñ
kyā haar gayā kyā jiit gayā
ammi ki mohabbat milti hai
abbu ki bhi shafqat milti hai
ai mazi tere ek daman se
kya kya mujhe daulat milti hai
bachpan ka zamana tujh mein hai
har lamha suhana tujh mein hai
jo KHwabon ko dastak deta tha
wo ahd purana tujh mein hai
nakaami na ye na-shadi thi
be-fikri thi aazadi thi
shahzada tha main armanon ka
ummid meri shahzadi thi
har kina hasad se dur tha main
har aadat-e-bad se dur tha main
masum tabiat thi meri
shaitan ki zad se dur tha main
ye chand khilauna tha mera
ek sapna sunahra tha mera
muTThi mein thi duniya band meri
ye sara zamana tha mera
bachpan ka zamana bit gaya
wo mit gae wo git gaya
'shahzad' ab aksar sochta hun
kya haar gaya kya jit gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.