ummid
sadāoñ ke jazīre
Duub jaate haiñ
ḳhamoshī ke samundar meñ
koī āvāz lekin gūñjtī hai
jism kī andhī surañgoñ meñ
na jaane kitne ḳhvāboñ ke darīche us ne khole haiñ
sunā.e anginat qisse
kabhī us ne shuāoñ se añdheroñ ko kiyā raushan
khilā.e haiñ ka.ī gulshan
yahī āvāz
lafzoñ ke har ik sāñche meñ Dhal jaa.e
fazāoñ meñ bikhar jaa.e
kisī sūrat ḳhamoshī kā magar chehra utar jaa.e
sadaon ke jazire
Dub jate hain
KHamoshi ke samundar mein
koi aawaz lekin gunjti hai
jism ki andhi surangon mein
na jaane kitne KHwabon ke dariche us ne khole hain
sunae anginat qisse
kabhi us ne shuaon se andheron ko kiya raushan
khilae hain kai gulshan
yahi aawaz
lafzon ke har ek sanche mein Dhal jae
fazaon mein bikhar jae
kisi surat KHamoshi ka magar chehra utar jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.