ummid
zindagī tiira ġhaar ke mānind
aur maiñ raushnī kā shaidā.ī
kāñptī ūñghtī sī dīvāreñ
pattharoñ par sajī huī kaa.ī
giilī giilī siyah chaTānoñ par
girtī būñdoñ kī naġhma-pairā.ī
tīrgī aur hazār āvāzeñ
dil rahīn-e-fareb-e-tanhā.ī
har qadam laġhzishoñ kā afsāna
har nafas vaqf-e-nā-shakebā.ī
duur lekin vo nuur kā nuqta
paikar-e-sīm-gūñ kī ra.anā.ī
tasht-e-gardūñ meñ jaise najm-e-sahar
shab kī āñkhoñ meñ jaise bīnā.ī
zindagi tera ghaar ke manind
aur main raushni ka shaidai
kanpti unghti si diwaren
pattharon par saji hui kai
gili gili siyah chaTanon par
girti bundon ki naghma-pairai
tirgi aur hazar aawazen
dil rahin-e-fareb-e-tanhai
har qadam laghzishon ka afsana
har nafas waqf-e-na-shakebai
dur lekin wo nur ka nuqta
paikar-e-sim-gun ki ranai
tasht-e-gardun mein jaise najm-e-sahar
shab ki aankhon mein jaise binai
- Book : shaahraah(12) (Pg. 69)
- Edition : 1950
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.