ummid
yahāñ se aage udaas jangal kā rāsta hai
yahāñ se tum lauT jaao
palaT ke dekho vo jāgtā shahr
rang meñ tairte hue khiḌkiyoñ ke shīshe
nashe meñ Duubī huī sadā.eñ
ḳhushī se bharpūr qahqahe
vahāñ muñDeroñ pe chāñd pūnam kā
apnī ThoḌī Tikā.e shafqat se hans rahā hai
tum is añdhere udaas raste pe kyoñ mere saath aa rahī ho
maiñ tum se kahtā huuñ lauT jaao
yahāñ se rāheñ ghane añdheroñ meñ kho chalī haiñ
yahāñ se aage udaas jangal kā rāsta hai
yahan se aage udas jangal ka rasta hai
yahan se tum lauT jao
palaT ke dekho wo jagta shahr
rang mein tairte hue khiDkiyon ke shishe
nashe mein Dubi hui sadaen
KHushi se bharpur qahqahe
wahan munDeron pe chand punam ka
apni ThoDi Tikae shafqat se hans raha hai
tum is andhere udas raste pe kyon mere sath aa rahi ho
main tum se kahta hun lauT jao
yahan se rahen ghane andheron mein kho chali hain
yahan se aage udas jangal ka rasta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.