umr-e-gurezan ke nam
umar yuuñ mujh se gurezāñ hai ki har gaam pe maiñ
is ke dāman se lipaTtā huuñ manātā huuñ ise
vāsta detā huuñ mahrūmī o nākāmī kā
dāstāñ ābla-pā.ī kī sunātā huuñ ise
ḳhvāb adhūre haiñ jo dohrātā huuñ un ḳhvāboñ ko
zaḳhm pinhāñ haiñ jo vo zaḳhm dikhātā huuñ use
us se kahtā huuñ tamannā ke lab-o-lahje meñ
ai mirī jaan mirī laila-e-tābinda-jabīñ
suntā huuñ tū hai mirī laila-e-tābinda-jabīñ
suntā huuñ tū hai mah o mahr se bhī baḌh ke hasīñ
yuuñ na ho mujh se gurezāñ ki abhī tak maiñ ne
jānñā tujh ko kujā paas se dekhā bhī nahīñ
sub.h uTh jaatā huuñ jab murġh azaañ dete haiñ
aur roTī ke ta.āqub meñ nikal jaatā huuñ
shaam ko Dhor palaTte haiñ charā-gāhoñ se jab
shab-gizārī ke liye maiñ bhī palaT aatā huuñ
yuuñ na ho mujh se gurezāñ mirā sarmāya abhī
ḳhvāb hī ḳhvāb haiñ ḳhvāboñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
multavī kartā rahā kal pe tirī diid ko maiñ
umar yun mujh se gurezan hai ki har gam pe main
is ke daman se lipaTta hun manata hun ise
wasta deta hun mahrumi o nakaami ka
dastan aabla-pai ki sunata hun ise
KHwab adhure hain jo dohraata hun un KHwabon ko
zaKHm pinhan hain jo wo zaKHm dikhata hun use
us se kahta hun tamanna ke lab-o-lahje mein
ai meri jaan meri laila-e-tabinda-jabin
sunta hun tu hai meri laila-e-tabinda-jabin
sunta hun tu hai mah o mahr se bhi baDh ke hasin
yun na ho mujh se gurezan ki abhi tak main ne
jaanna tujh ko kuja pas se dekha bhi nahin
subh uTh jata hun jab murgh azan dete hain
aur roTi ke taaqub mein nikal jata hun
sham ko Dhor palaTte hain chara-gahon se jab
shab-gizari ke liye main bhi palaT aata hun
yun na ho mujh se gurezan mera sarmaya abhi
KHwab hi KHwab hain KHwabon ke siwa kuchh bhi nahin
multawi karta raha kal pe teri did ko main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.