umr ka aaKHiri din
yahāñ mere andar daraḳhtoñ kī kitnī qatāreñ sulagtī raheñgī
vahāñ tere andar taḌapte hue lafz lamhe
parinde qatāroñ meñ baiThe hue ro rahe haiñ
daraḳhtoñ ke pīchhe ka.ī chāñd TuuTe hue reza reza
lahū meñ nahā.e hue kitne sūraj mazāroñ ke katbe!
kahīñ Dhol kī thaap par raqs-e-marg-e-musalsal
kahīñ daldaloñ meñ utarte hue jism jaise
gunahgār apne kiye kī sazā pā rahe haiñ
na tū apnī palkoñ ke kaale pharere uThā kar kahīñ jā rahī hai
na maiñ koī parcham uThā.e hue chal rahā huuñ
mire paas baiThā huā jism mujh se ye kyuuñ pūchhtā hai
kisī gul kī māhiyat-e-rañg kyā hai?
sitāroñ kā āhañg kyā hai?
ye ḳhushbū hai yā bārish-e-sañg kyā hai
ye sab zinda rahne ke hiile vasīle abas haiñ
azal se abad tak vahī silsila hai
yahāñ se vahāñ tak vahī dhund phailī huī hai
magar dhund se kaise nikleñ yahī sochte sochte mar ga.e ham
zamīñ se shajar kā janam zindagī kī alāmat magar maut bhī hai
mirī umr kā āḳhirī din
kisī bāb-e-ātish-zada par khaḌā muskurāne lagā hai
kahīñ hijr kī sā.ateñ ginte ginte mujhe niiñd aa.ī huī hai
shumār-e-sitāra ne shāyad mire dil kī rañgīñ ḳhaliyoñ meñ
kaale lahū kī ibārat likhī hai
samundar meñ Duubā huā ik makāñ jal rahā hai
yahan mere andar daraKHton ki kitni qataren sulagti rahengi
wahan tere andar taDapte hue lafz lamhe
parinde qataron mein baiThe hue ro rahe hain
daraKHton ke pichhe kai chand TuTe hue reza reza
lahu mein nahae hue kitne suraj mazaron ke katbe!
kahin Dhol ki thap par raqs-e-marg-e-musalsal
kahin daldalon mein utarte hue jism jaise
gunahgar apne kiye ki saza pa rahe hain
na tu apni palkon ke kale pharere uTha kar kahin ja rahi hai
na main koi parcham uThae hue chal raha hun
mere pas baiTha hua jism mujh se ye kyun puchhta hai
kisi gul ki mahiyat-e-rang kya hai?
sitaron ka aahang kya hai?
ye KHushbu hai ya barish-e-sang kya hai
ye sab zinda rahne ke hile wasile abas hain
azal se abad tak wahi silsila hai
yahan se wahan tak wahi dhund phaili hui hai
magar dhund se kaise niklen yahi sochte sochte mar gae hum
zamin se shajar ka janam zindagi ki alamat magar maut bhi hai
meri umr ka aaKHiri din
kisi bab-e-atish-zada par khaDa muskurane laga hai
kahin hijr ki saaten ginte ginte mujhe nind aai hui hai
shumar-e-sitara ne shayad mere dil ki rangin KHaliyon mein
kale lahu ki ibarat likhi hai
samundar mein Duba hua ek makan jal raha hai
- Book : AURAAQ (Pg. 174)
- Author : Wazir Agha, Sajjad Naqvi
- Publication : Auraaq Chauk, Urdu Bazar, Lahore (April, May 1982)
- Edition : April, May 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.