umr mahdud hai
ek cigarette nahīñ jeb meñ
laTe hone kā matlab
bujhānā hai ab bīḌiyāñ maañg kar mujh ko apnī talab
phir chalī
do qadam chal ke phir ruk ga.ī merī chhakḌā sī train
kyā huā pūchhtā huuñ
cross hai koī kahtā hai mujh se
aur maiñ
phir se ik baar nīche utar kar
Tahalne lagā
paTriyoñ ke kināre paḌe pattharoñ par
baḌbaḌātā huā
yuuñ to jaldī pahuñch ke bhī ghar
kaam koī nahīñ hai
magar is se kyā
'umr to merī mahdūd hai
aur jab 'umr mahdūd hai
koī kaise ghaḌī kī taraf dekhnā chhoḌ de
ek cigarette nahin jeb mein
laTe hone ka matlab
bujhana hai ab biDiyan mang kar mujh ko apni talab
phir chali
do qadam chal ke phir ruk gai meri chhakDa si train
kya hua puchhta hun
cross hai koi kahta hai mujh se
aur main
phir se ek bar niche utar kar
Tahalne laga
paTriyon ke kinare paDe pattharon par
baDbaData hua
yun to jaldi pahunch ke bhi ghar
kaam koi nahin hai
magar is se kya
'umr to meri mahdud hai
aur jab 'umr mahdud hai
koi kaise ghaDi ki taraf dekhna chhoD de
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 148)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.