umr poshi
maiñ ne pūchhā
munne! tum kyuuñ apnī ammī jaan ko baajī kahte ho
munnā bolā
baajī bhī to nānī-jī ko aapā aapā kahtī haiñ
is bāzār kā jo koThā hai us kī riit nirālī hai
yahāñ to maañ ko maañ kah denā sab se gandī gaalī hai
main ne puchha
munne! tum kyun apni ammi jaan ko baji kahte ho
munna bola
baji bhi to nani-ji ko aapa aapa kahti hain
is bazar ka jo koTha hai us ki rit nirali hai
yahan to man ko man kah dena sab se gandi gali hai
- Book : kalam-e-qateel shifai (Pg. 254)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.