un ka jashn-e-sal-girah
ik majma-e-rañgīñ meñ vo ghabrā.ī huī sī
baiThī hai ajab naaz se sharmā.ī huī sī
āñkhoñ meñ hayā lab pe hañsī aa.ī huī sī
hoñToñ pe fidā rūh-e-bahār-o-gul-o-nasrīñ
āñkhoñ kī chamak rū-kash-e-bazm-e-mah-o-parvīñ
pairāhan-e-zar-tār meñ ik paikar-e-sīmīñ
lahreñ sī vo letā huā ik phuul kā sehrā
sehre meñ jhamaktā huā ik chāñd sā chehrā
ik rañg sā ruḳh par kabhī halkā kabhī gahrā
har saañs meñ ehsās-e-farāvāñ kī kahānī
ḳhāmoshi-e-mahbūb meñ ik sail-e-ma.ānī
jazbāt ke tūfāñ meñ hai doshīza javānī
fitrat na.e jazbāt ke dar khol rahī hai
mīzān-e-javānī meñ use taul rahī hai
lab sākit o sāmit haiñ nazar bol rahī hai
sarshār nigāhoñ meñ hayā jhuum rahī hai
haiñ raqs meñ aflāk zamīñ ghuum rahī hai
shā.ir kī vafā baḌh ke qadam chuum rahī hai
ai tū ki tire dam se mirī zamzama-ḳhvānī
ho tujh ko mubārak ye tirī nūr-jahānī
afkār se mahfūz rahe terī javānī
chhalke tirī āñkhoñ se sharāb aur ziyāda
mahkeñ tire aariz ke gulāb aur ziyāda
allāh kare zor-e-shabāb aur ziyāda
ek majma-e-rangin mein wo ghabrai hui si
baiThi hai ajab naz se sharmai hui si
aankhon mein haya lab pe hansi aai hui si
honTon pe fida ruh-e-bahaar-o-gul-o-nasrin
aankhon ki chamak ru-kash-e-bazm-e-mah-o-parwin
pairahan-e-zar-tar mein ek paikar-e-simin
lahren si wo leta hua ek phul ka sehra
sehre mein jhamakta hua ek chand sa chehra
ek rang sa ruKH par kabhi halka kabhi gahra
har sans mein ehsas-e-farawan ki kahani
KHamoshi-e-mahbub mein ek sail-e-maani
jazbaat ke tufan mein hai doshiza jawani
fitrat nae jazbaat ke dar khol rahi hai
mizan-e-jawani mein use taul rahi hai
lab sakit o samit hain nazar bol rahi hai
sarshaar nigahon mein haya jhum rahi hai
hain raqs mein aflak zamin ghum rahi hai
shair ki wafa baDh ke qadam chum rahi hai
ai tu ki tere dam se meri zamzama-KHwani
ho tujh ko mubarak ye teri nur-jahani
afkar se mahfuz rahe teri jawani
chhalke teri aankhon se sharab aur ziyaada
mahken tere aariz ke gulab aur ziyaada
allah kare zor-e-shabab aur ziyaada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.