un logon ke andar
un logoñ ke andar jin ke andar meñ bhī huuñ
mere bar-aks aise bhī
haiñ kuchh log
jin kī bātoñ ke kuchh sachche ruup
un ke harbe haiñ
lekin ye sach un kā nahīñ hotā
ye sach auroñ se chhīnā huā hotā hai
apne jhuuT aur apnī badī ko chhapāne kī ḳhātir
vo auroñ kī ik ik achchhā.ī ko hathyā lete haiñ
aur phir us hathiyār ko le kar jab vo chalte haiñ
saarī duniyā un se Dartī hai
ye bhī kaisā zamāna hai
jab achchhoñ kī sab achhā.iyāñ buroñ ke hāthoñ meñ
harbe haiñ sachche log agar jīvaT huuñ
kaun un ke muñh aa.egā
jhuuT ke us tālāb ke sab kachhve
apne apne ḳhol meñ apne apne kaale zamīroñ meñ
chhup jā.eñge
un logon ke andar jin ke andar mein bhi hun
mere bar-aks aise bhi
hain kuchh log
jin ki baaton ke kuchh sachche rup
un ke harbe hain
lekin ye sach un ka nahin hota
ye sach auron se chhina hua hota hai
apne jhuT aur apni badi ko chhapane ki KHatir
wo auron ki ek ek achchhai ko hathya lete hain
aur phir us hathiyar ko le kar jab wo chalte hain
sari duniya un se Darti hai
ye bhi kaisa zamana hai
jab achchhon ki sab achhaiyan buron ke hathon mein
harbe hain sachche log agar jiwaT hun
kaun un ke munh aaega
jhuT ke us talab ke sab kachhwe
apne apne KHol mein apne apne kale zamiron mein
chhup jaenge
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 97)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.