sīḌhiyāñ chaḌhtī huī
nabzoñ ko roko
uuprī manzil pe
ghabrāyā huā ik hāfiza
tashkīk ke mehvar pe
kal shab se
musalsal ghūmtā hai
is se nā-vāqif nahīñ
ham tum
magar paanī kī shāḳhoñ meñ
phañse alfāz
dhartī par nahīñ girte
unheñ kah do
ki bachpan se ulajh kar
jab bhī
āñkhoñ ke kināre
ret kā koī gharauñdā
TuuT jaatā hai
to dariyā meñ
bhayānak baaḌh aatī hai
samundar naza.a ke aalam meñ
aksar chīḳhtā hai
sīḌhiyāñ chaḌhtī huī
nabzoñ se kah do
siDhiyan chaDhti hui
nabzon ko roko
upri manzil pe
ghabraya hua ek hafiza
tashkik ke mehwar pe
kal shab se
musalsal ghumta hai
is se na-waqif nahin
hum tum
magar pani ki shaKHon mein
phanse alfaz
dharti par nahin girte
unhen kah do
ki bachpan se ulajh kar
jab bhi
aankhon ke kinare
ret ka koi gharaunda
TuT jata hai
to dariya mein
bhayanak baDh aati hai
samundar naza ke aalam mein
aksar chiKHta hai
siDhiyan chaDhti hui
nabzon se kah do
- Book : kushaad (Pg. 61)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.