unhen mujhse shikayat hai
unheñ mujh se shikāyat hai ki maiñ maazī meñ jiitī huuñ
mire ash.ār meñ aaseb haiñ guzre zamānoñ ke
vo kahte haiñ kī yādeñ saa.e kī mānind mere saath rahtī haiñ
ye sach hai is se kab inkār hai mujh ko
maiñ aksar jāgte din meñ bhī āñkheñ muuñd letī huuñ
koī sūrat koī āvāz koī zā.iqa yā lams jab jaadū jagātā hai
to gard-ālūd mīnā-taur tasvīreñ achānak bolne lagtī haiñ nāTak-manch sajtā hai
kisī TuuTe hue sandūq meñ rakkhe hue
bosīda maḳhtūte se koī dāstāñ tamsīl ban jaatī hai
jī uThte haiñ sab kirdār maazī ke
sipāhī bādshāh ḳhil.at navādir raqs-o-mausīqī
kisī ke paañv meñ paa.el dhanak āñchal
kisī shamshīr kī bijlī ghanī barsāt kī badlī
kisī bāra-darī meñ raag dīpak kā
kisī sehn-e-gulistāñ meñ kadam ke peḌ par baiThī huī chiḌiyāñ
achānak jaag jaatī haiñ
kisī gumnām qasbe meñ koī TuuTī huī mehrāb ḳhasta-hāl-DevḌhī kī jhalak
ma.adūm kar detī hai hotel chā.e-ḳhāne bas ke adde Dher kuuḌe ke
ka.ī sadiyāñ guzar jaatī haiñ sar se
aur koī gum-gashta shahr-e-raftagāñ bedār hotā hai
isī manzar kā hissa ban ke maiñ tasvīr ho jaatī huuñ kho jaatī huuñ maazī meñ
meñ aksar ābnā-e-vaqt par kāġhaz kī naav Daal detī huuñ
to paanī apnā rasta moḌ detā hai
maiñ jab chāhūñ
salonī sāñvlī naT-khaT madhur yādeñ uThā lā.ūñ laḌakpan ke gharoñdoñ se
maiñ jab chāhūñ to kaalī koTharī meñ qaid
ranjīda pashemāñ zaḳhm-ḳhūrda-sā.atoñ biite dinoñ ko pyaar se chhū kar
dilāsa duuñ thapak kar loriyāñ duuñ
ḳhuub ro.uuñ ḳhuub ro.uuñ shānt ho jā.ūñ
ye maazī merā maazī hai
faqat mere tasarruf meñ hai
merī milkiyyat hai merā virsa hai
na merā haal par bas hai
aur aane vaalā kal bhī kis ne dekhā hai
unhen mujh se shikayat hai ki main mazi mein jiti hun
mere ashaar mein aaseb hain guzre zamanon ke
wo kahte hain ki yaaden sae ki manind mere sath rahti hain
ye sach hai is se kab inkar hai mujh ko
main aksar jagte din mein bhi aankhen mund leti hun
koi surat koi aawaz koi zaiqa ya lams jab jadu jagata hai
to gard-alud mina-taur taswiren achanak bolne lagti hain naTak-manch sajta hai
kisi TuTe hue sanduq mein rakkhe hue
bosida maKHtute se koi dastan tamsil ban jati hai
ji uThte hain sab kirdar mazi ke
sipahi baadshah KHilat nawadir raqs-o-mausiqi
kisi ke panw mein pael dhanak aanchal
kisi shamshir ki bijli ghani barsat ki badli
kisi bara-dari mein rag dipak ka
kisi sehn-e-gulistan mein kadam ke peD par baiThi hui chiDiyan
achanak jag jati hain
kisi gumnam qasbe mein koi TuTi hui mehrab KHasta-haal-DewDhi ki jhalak
madum kar deti hai hotel chae-KHane bas ke adde Dher kuDe ke
kai sadiyan guzar jati hain sar se
aur koi gum-gashta shahr-e-raftagan bedar hota hai
isi manzar ka hissa ban ke main taswir ho jati hun kho jati hun mazi mein
mein aksar aabna-e-waqt par kaghaz ki naw Dal deti hun
to pani apna rasta moD deta hai
main jab chahun
saloni sanwli naT-khaT madhur yaaden uTha laun laDakpan ke gharondon se
main jab chahun to kali koThari mein qaid
ranjida pasheman zaKHm-KHurda-saaton bite dinon ko pyar se chhu kar
dilasa dun thapak kar loriyan dun
KHub roun KHub roun shant ho jaun
ye mazi mera mazi hai
faqat mere tasarruf mein hai
meri milkiyyat hai mera wirsa hai
na mera haal par bas hai
aur aane wala kal bhi kis ne dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.