urdu ka janaza hai zara dhum se nikle
Interesting Fact
This poem was composed against the backdrop of the riots that took place in Pakistan, especially in Karachi over the Urdu language.
kyuuñ jān-e-hazīñ ḳhatra-e-mauhūm se nikle
kyuuñ nāla-e-hasrat dil-e-maġhmūm se nikle
aañsū na kisī dīda-e-mazlūm se nikle
kah do ki na shikva lab-e-maġhmūm se nikle
urdu kā janāza hai zarā dhuum se nikle
urdu kā ġham-e-marg subuk bhī hai garāñ bhī
hai shāmil-e-arbāb-e-azā shāh-e-jahāñ bhī
miTne ko hai aslāf kī azmat kā nishāñ bhī
ye mayyat-e-ġham dehlī-e-marhūm se nikle
urdu kā janāza hai zarā dhuum se nikle
ai tāj-mahal naqsh-ba-dīvār ho ġham se
ai qil.a-e-shāhī ye alam pūchh na ham se
ai ḳhāk-e-avadh fā.eda kyā sharh-e-sitam se
tahrīk ye misr-o-arab-o-rome se nikle
urdu kā janāza hai zarā dhuum se nikle
saaya ho jab urdu ke janāze pe 'valī' kā
hoñ 'mīr-taqī' saath to hamrāh huuñ 'saudā'
dafnā.eñ use 'mus.hafī'-o-'nāsiḳh'-o-'inshā'
ye faal har ik daftar-e-manzūm se nikle
urdu kā janāza hai zarā dhuum se nikle
bad-zauq hai ahbāb se go zauq haiñ ranjūr
urdu-e-muallā ke na mātam se raheñ duur
talqīn sar-e-qabr paḌheñ momin-e-maġhfūr
fariyād dil-e-'ġhālib'-e-marhūm se nikle
urdu kā janāza hai zarā dhuum se nikle
hai marsiyāñ-ḳhvāñ qaum haiñ urdu ke bahut kam
kah do ki 'anīs' is kā likheñ marsiya-e-ġham
jannat se 'dabīr' aa ke paḌheñ nauha-e-mātam
ye chīḳh uThe dil se na hulqūm se nikle
urdu kā janāza hai zarā dhuum se nikle
is laash ko chupke se koī dafan na kar de
pahle koī 'sirsayyad'-e-a.azam ko ḳhabar de
vo mard-e-ḳhudā ham meñ na.ī ruuh to bhar de
vo ruuh ki maujūd na ma.adūm se nikle
urdu kā janāza hai zarā dhuum se nikle
urdu ke janāze kī ye saj-dhaj ho nirālī
saf-basta hoñ marhūma ke sab vāris-o-vālī
'āzād'-o-'nazīr'-o-'sharar'-o-'shiblī'-o-'hālī'
fariyād ye sab ke dil-e-maġhmūm se nikle
urdu kā janāza hai zarā dhuum se nikle
kyun jaan-e-hazin KHatra-e-mauhum se nikle
kyun nala-e-hasrat dil-e-maghmum se nikle
aansu na kisi dida-e-mazlum se nikle
kah do ki na shikwa lab-e-maghmum se nikle
urdu ka janaza hai zara dhum se nikle
urdu ka gham-e-marg subuk bhi hai garan bhi
hai shamil-e-arbab-e-aza shah-e-jahan bhi
miTne ko hai aslaf ki azmat ka nishan bhi
ye mayyat-e-gham dehli-e-marhum se nikle
urdu ka janaza hai zara dhum se nikle
ai taj-mahal naqsh-ba-diwar ho gham se
ai qila-e-shahi ye alam puchh na hum se
ai KHak-e-awadh faeda kya sharh-e-sitam se
tahrik ye misr-o-arab-o-rome se nikle
urdu ka janaza hai zara dhum se nikle
saya ho jab urdu ke janaze pe 'wali' ka
hon 'mir-taqi' sath to hamrah hun 'sauda'
dafnaen use 'mushafi'-o-'nasiKH'-o-'insha'
ye fal har ek daftar-e-manzum se nikle
urdu ka janaza hai zara dhum se nikle
bad-zauq hai ahbab se go zauq hain ranjur
urdu-e-mualla ke na matam se rahen dur
talqin sar-e-qabr paDhen momin-e-maghfur
fariyaad dil-e-'ghaalib'-e-marhum se nikle
urdu ka janaza hai zara dhum se nikle
hai marsiyan-KHwan qaum hain urdu ke bahut kam
kah do ki 'anis' is ka likhen marsiya-e-gham
jannat se 'dabir' aa ke paDhen nauha-e-matam
ye chiKH uThe dil se na hulqum se nikle
urdu ka janaza hai zara dhum se nikle
is lash ko chupke se koi dafan na kar de
pahle koi 'sirsayyad'-e-azam ko KHabar de
wo mard-e-KHuda hum mein nai ruh to bhar de
wo ruh ki maujud na madum se nikle
urdu ka janaza hai zara dhum se nikle
urdu ke janaze ki ye saj-dhaj ho nirali
saf-basta hon marhuma ke sab waris-o-wali
'azad'-o-'nazir'-o-'sharar'-o-'shibli'-o-'haali'
fariyaad ye sab ke dil-e-maghmum se nikle
urdu ka janaza hai zara dhum se nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.