Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

urdu ke nam

Ajay Sahaab

urdu ke nam

Ajay Sahaab

MORE BYAjay Sahaab

    ishq raag jo gaanā ho maiñ urdu bolūñ

    kisī rūThe ko manānā ho maiñ urdu bolūñ

    baat nafrat ho karnī to zabāneñ kitnī

    jab mujhe pyaar jatānā ho maiñ urdu bolūñ

    kisī murjhāte hue baaġh meñ ġhazleñ paḌh kar

    jab mujhe phuul khilānā ho maiñ urdu bolūñ

    is ḳhushbū se chalā aa.egā khiñch kar koī

    jab use paas bulānā ho maiñ urdu bolūñ

    be-adab bazm meñ shā.ista bayānī kar ke

    sham.a-e-tahzīb jalānā ho maiñ urdu bolūñ

    ek ḳhāmosh mahfil meñ bhī lafzoñ se 'sahāb'

    jab mujhe aag lagānā ho maiñ urdu bolūñ

    ishq ka rag jo gana ho main urdu bolun

    kisi ruThe ko manana ho main urdu bolun

    baat nafrat ki ho karni to zabanen kitni

    jab mujhe pyar jatana ho main urdu bolun

    kisi murjhate hue bagh mein ghazlen paDh kar

    jab mujhe phul khilana ho main urdu bolun

    is ki KHushbu se chala aaega khinch kar koi

    jab use pas bulana ho main urdu bolun

    be-adab bazm mein shaista bayani kar ke

    shama-e-tahzib jalana ho main urdu bolun

    ek KHamosh si mahfil mein bhi lafzon se 'sahab'

    jab mujhe aag lagana ho main urdu bolun

    Source :
    • Book : میں اردو بولوں(شعری مجموعہ) (Pg. 43)
    • Author : اجئے سحاب
    • Publication : اردو پریس کلب(یو۔پی۔سی) انٹر نیشنل پبلی کیشنز (2019)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now