Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

urdu

zabān-e-hind hai urdu to māthe shikan kyuuñ hai

vatan meñ be-vatan kyuuñ hai

mirī mazlūm urdu terī sāñsoñ meñ ghuTan kyuuñ hai

terā lahja mahaktā hai to lafzoñ meñ thakan kyuuñ hai

agar phuul hai to phuul meñ itnī chubhan kyuuñ hai

vatan meñ be-vatan kyuuñ hai

ye 'nanak' ye 'ḳhusrav' 'dayā-shañkar' bolī hai

ye dīvālī ye baisākhī ye īd-ul-fitr holī hai

magar ye dil dhaḌkan āj-kal dil jalan kyuuñ hai

vatan meñ be-vatan kyuuñ hai

ye nāzoñ palī thī 'mīr' ke 'ġhālib' ke āñgan meñ

jo sūraj ban ke chamkī thī kabhī mahloñ ke dāman meñ

vo shahzādī zabānoñ yahāñ be-anjuman kyuuñ hai

vatan meñ be-vatan kyuuñ hai

mohabbat sabhī elaan kar jaate haiñ mahfil meñ

ki is ke vāste jazba hai hamdardī har dil meñ

magar haq māñgne ke vaqt ye begāna-pan kyuuñ hai

vatan meñ be-vatan kyuuñ hai

ye doshīza jo bāzāroñ se iThlātī guzartī thī

laboñ nāzukī jis gulāboñ bikhartī thī

jo tahzīboñ ke sar oḌhnī thī ab kafan kyuuñ hai

vatan meñ be-vatan kyuuñ hai

mohabbat agar da.avā hai to is ko bachāo tum

jo va.ada kal kiyā thā aaj vo va.ada nibhāo tum

agar tum raam ho to phir ye rāvan chalan kyuuñ hai

vatan meñ be-vatan kyuuñ hai

zaban-e-hind hai urdu to mathe ki shikan kyun hai

watan mein be-watan kyun hai

meri mazlum urdu teri sanson mein ghuTan kyun hai

tera lahja mahakta hai to lafzon mein thakan kyun hai

agar tu phul hai to phul mein itni chubhan kyun hai

watan mein be-watan kyun hai

ye 'nanak' ki ye 'KHusraw' ki 'daya-shankar' ki boli hai

ye diwali ye baisakhi ye id-ul-fitr holi hai

magar ye dil ki dhaDkan aaj-kal dil ki jalan kyun hai

watan mein be-watan kyun hai

ye nazon ki pali thi 'mir' ke 'ghaalib' ke aangan mein

jo suraj ban ke chamki thi kabhi mahlon ke daman mein

wo shahzadi zabanon ki yahan be-anjuman kyun hai

watan mein be-watan kyun hai

mohabbat ka sabhi elan kar jate hain mahfil mein

ki is ke waste jazba hai hamdardi ka har dil mein

magar haq mangne ke waqt ye begana-pan kyun hai

watan mein be-watan kyun hai

ye doshiza jo bazaron se iThlati guzarti thi

labon ki nazuki jis ki gulabon si bikharti thi

jo tahzibon ke sar ki oDhni thi ab kafan kyun hai

watan mein be-watan kyun hai

mohabbat ka agar dawa hai to is ko bachao tum

jo wada kal kiya tha aaj wo wada nibhao tum

agar tum ram ho to phir ye rawan ka chalan kyun hai

watan mein be-watan kyun hai

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now