sab zabānoñ kī jaan hai urdu
kitnī pyārī zabān hai urdu
saare alfāz qīmtī gauhar
jauharī kī dukān hai urdu
ye tarāshe hue hasīñ jumle
jaise hīroñ kī kaan hai urdu
ek ik lafz misl-e-shīr-o-shakar
kitnī mīThī zabān hai urdu
saarī duniyā meñ jis kī shohrat hai
faḳhr-e-hindostān hai urdu
ḳhvāh hindū ho sikh ho yā muslim
har bashar kī zabān hai urdu
shahr-e-dillī kā sirf dil hī nahīñ
saare bhārat kī jaan hai urdu
Hyderabad-o-lucknow hī nahīñ
har jagah kī zabān hai urdu
kitnī sadiyāñ guzar chukīñ lekin
aaj tak naujavān hai urdu
'kaif' urdu ke jo muḳhālif haiñ
un ke ghar kī zabān hai urdu
sab zabanon ki jaan hai urdu
kitni pyari zaban hai urdu
sare alfaz qimti gauhar
jauhari ki dukan hai urdu
ye tarashe hue hasin jumle
jaise hiron ki kan hai urdu
ek ek lafz misl-e-shir-o-shakar
kitni miThi zaban hai urdu
sari duniya mein jis ki shohrat hai
faKHr-e-hindostan hai urdu
KHwah hindu ho sikh ho ya muslim
har bashar ki zaban hai urdu
shahr-e-dilli ka sirf dil hi nahin
sare bhaarat ki jaan hai urdu
Hyderabad-o-lucknow hi nahin
har jagah ki zaban hai urdu
kitni sadiyan guzar chukin lekin
aaj tak naujawan hai urdu
'kaif' urdu ke jo muKHalif hain
un ke ghar ki zaban hai urdu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.