Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chahaton ka jahan hai urdu

Krishna Mohan

chahaton ka jahan hai urdu

Krishna Mohan

MORE BYKrishna Mohan

    chāhatoñ jahān hai urdu

    rāhatoñ nishān hai urdu

    ishq e'tibār aur vaqār

    husn ān-bān hai urdu

    dil-fazā zau-kada sabāhat

    aur malāhat kaan hai urdu

    nasr hai ḳhirām-e-ḳhush-hañgām

    shā.irī uḌaan hai urdu

    zinda hai apnā zauq-o-shauq is se

    ārzūoñ jaan hai urdu

    lutf hastī rañg mastī

    ḳhushnumā kārvān hai urdu

    zikr-e-ārā.ish-e-ḳham-e-kākul

    kaif-e-hindostān hai urdu

    daftar-e-ittihād-o-yak-jehtī

    pyaar dāstān hai urdu

    ektā hai anektā meñ bhī

    dost-dārī maan hai urdu

    'ġhālib'-o-'mīr' is ke shaidā the

    jin rūh-e-ravān hai urdu

    'ātish' o 'momin' o 'nazīr' o 'jigar'

    jin rañgīñ zabān hai urdu

    is ke āshiq 'nasīm' aur chakbast

    jin ke jazboñ shaan shaan hai urdu

    dost is ke 'surūr' aur 'sarshār'

    is liye shādmān hai urdu

    dard-mañd is ke 'premchand' rahe

    jin ke baa.is javān hai urdu

    is ke mushtāq 'mullā' aur 'firāq'

    jin ke dil bayān hai urdu

    na.ara-zan 'josh' ḳharosh is meñ

    josh tarjumān hai urdu

    'faiz' o 'iqbāl' o kirshn-chandar se

    vus.at-e-be-karān hai urdu

    dhuum 'mahrūm' huī is meñ

    aur 'munavār' aan hai urdu

    'rāshid' o 'mīrā-jī' albelī

    shoḳh-adā rāzdān hai urdu

    fitnat-o-fan daulat-e-bedār

    'krishn-mohan' jaan hai urdu

    chahaton ka jahan hai urdu

    rahaton ka nishan hai urdu

    ishq ka e'tibar aur waqar

    husn ki aan-ban hai urdu

    dil-faza zau-kada sabahat ka

    aur malahat ki kan hai urdu

    nasr ka hai KHiram-e-KHush-hangam

    shairi ki uDan hai urdu

    zinda hai apna zauq-o-shauq is se

    aarzuon ki jaan hai urdu

    lutf hasti ka rang masti ka

    KHushnuma karwan hai urdu

    zikr-e-araish-e-KHam-e-kakul

    kaif-e-hindostan hai urdu

    daftar-e-ittihad-o-yak-jehti

    pyar ki dastan hai urdu

    ekta hai anekta mein bhi

    dost-dari ka man hai urdu

    'ghaalib'-o-'mir' is ke shaida the

    jin ki ruh-e-rawan hai urdu

    'atish' o 'momin' o 'nazir' o 'jigar'

    jin ki rangin zaban hai urdu

    is ke aashiq 'nasim' aur chakbast

    jin ke jazbon ki shan shan hai urdu

    dost is ke 'surur' aur 'sarshaar'

    is liye shadman hai urdu

    dard-mand is ke 'premchand' rahe

    jin ke bais jawan hai urdu

    is ke mushtaq 'mulla' aur 'firaq'

    jin ke dil ka bayan hai urdu

    nara-zan 'josh' ka KHarosh is mein

    josh ki tarjuman hai urdu

    'faiz' o 'iqbaal' o kirshn-chandar se

    wusat-e-be-karan hai urdu

    dhum 'mahrum' ki hui is mein

    aur 'munawar' ki aan hai urdu

    'rashid' o 'mira-ji' ki albeli

    shoKH-ada raazdan hai urdu

    fitnat-o-fan ki daulat-e-bedar

    'krishn-mohan' ki jaan hai urdu

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now