Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

madari zaban

Kaif Ahmed Siddiqui

madari zaban

Kaif Ahmed Siddiqui

MORE BYKaif Ahmed Siddiqui

    āġhosh-e-vālida meñ paalā thā ham ko jis ne

    ik paikar-e-adab meñ Dhālā thā ham ko jis ne

    jis ne hai ibtidā se har zindagī sañvārī

    vo mādarī zabāñ hai urdu zabāñ hamārī

    bachpan meñ jis ne mīThī lorī sunā.ī ham ko

    jis ke tufail jhūle meñ niiñd aa.ī ham ko

    ras gholtī hai jis āvāz pyārī pyārī

    vo mādarī zabāñ hai urdu zabāñ hamārī

    jis madad se ham ne apnī zabān kholī

    jis meñ samā ga.ī hai saare jahāñ bolī

    jis har ik sifat hai sau ḳhūbiyoñ pe bhārī

    vo mādarī zabāñ hai urdu zabāñ hamārī

    jis se miTā jahālat raat añdherā

    hindostāñ meñ chamkā tahzīb saverā

    hai jis raushnī har ghar meñ faiz jaarī

    vo mādarī zabāñ hai urdu zabāñ hamārī

    vo 'krishn' hoñ ki 'bedī' 'chakbast' hoñ ki 'tālib'

    'mahrūm' hoñ ki 'hālī' 'iqbāl' hoñ ki 'ġhālib'

    sadiyoñ har ahl-e-maz.hab jis rahā pujārī

    vo mādarī zabāñ hai urdu zabāñ hamārī

    jis ne ḳhulūs-e-dil se ai 'kaif' sab ko paalā

    jis har ek ghar meñ ab bhī hai bol-bālā

    dushman ke bhī diloñ par hai jis ḳhauf taarī

    vo mādarī zabāñ hai urdu zabāñ hamārī

    aaghosh-e-walida mein pala tha hum ko jis ne

    ek paikar-e-adab mein Dhaala tha hum ko jis ne

    jis ne hai ibtida se har zindagi sanwari

    wo madari zaban hai urdu zaban hamari

    bachpan mein jis ne miThi lori sunai hum ko

    jis ke tufail jhule mein nind aai hum ko

    ras gholti hai jis ki aawaz pyari pyari

    wo madari zaban hai urdu zaban hamari

    jis ki madad se hum ne apni zaban kholi

    jis mein sama gai hai sare jahan ki boli

    jis ki har ek sifat hai sau KHubiyon pe bhaari

    wo madari zaban hai urdu zaban hamari

    jis se miTa jahaalat ki raat ka andhera

    hindostan mein chamka tahzib ka sawera

    hai jis ki raushni ka har ghar mein faiz jari

    wo madari zaban hai urdu zaban hamari

    wo 'krishn' hon ki 'bedi' 'chakbast' hon ki 'talib'

    'mahrum' hon ki 'haali' 'iqbaal' hon ki 'ghaalib'

    sadiyon har ahl-e-mazhab jis ka raha pujari

    wo madari zaban hai urdu zaban hamari

    jis ne KHulus-e-dil se ai 'kaif' sab ko pala

    jis ka har ek ghar mein ab bhi hai bol-baala

    dushman ke bhi dilon par hai jis ka KHauf tari

    wo madari zaban hai urdu zaban hamari

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now