aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

urdu

MORE BYAlam Muzaffar Nagari

    faroġh-e-chashm hai taskīn-e-dil hai be-gumāñ urdu

    har ik aalam meñ hai goyā bahār-e-gul-fishāñ urdu

    koī dekhe to is quvvat-e-taḳhlīq aalam

    banā saktī hai zer-e-charḳh lākhoñ āsmāñ urdu

    muqallid jo nahīñ is vo pahuñchegā na manzil par

    sar-e-har-jāda-e-manzil hai mīr-e-kārvāñ urdu

    muhāfiz apnī quvvat se hai tahzīb-o-tamaddun

    na kyuuñ ho irtiqā-e-zindagī rāz-dāñ urdu

    gulistān-e-adab meñ jis qadar the muntashir jalve

    munazzam kar chukī hai un ko misl-e-jism-o-jāñ urdu

    fazā-e-ilm-o-fan par ye misāl-e-abr chhā.ī hai

    mazāq-e-justujū ban kar rag-e-dil meñ samā.ī hai

    zabāneñ aur bhī duniyā meñ kuchh garmī-e-mahfil haiñ

    magar manzil hai urdu aur vo sab gard-e-manzil haiñ

    har ik andāz raushan har bayāñ pur-kaif hai is

    adā.eñ jis qadar bhī haiñ vo sharh-e-jazba-e-dil haiñ

    zamīn-e-sher is ik chaman-zār-e-mohabbbat hai

    haiñ jitne giit vo sab naġhma-e-fitrat hāsil hai

    riyāzī ho ki mantiq falsafa ho tasavvuf ho

    sab is bazm meñ maujūd haiñ aur jān-e-mahfil haiñ

    milī haiñ jalva-e-fitrat sab rañgīniyāñ is ko

    muraqqe is ke siine se lagā lene ke qābil haiñ

    rivāj is jahāñ vus.atoñ meñ be-takalluf hai

    ye pākīza zabāñ hai aur latīf is tasarruf hai

    miTā saktā hai kaun aisī zabān-e-pāk-fitrat ko

    dayā dars-e-vafā jis ne mazāq-e-mulk-o-millat ko

    jumūd-e-zindagī meñ hashr barpā kar diyā is ne

    atā haiñ isī ne bijliyāñ ehsās-e-ulfat ko

    nizām-e-zindagānī par baḌā ehsān hai is

    bahut āsāniyāñ is meñ mileñ tablīġh-e-fitrat ko

    rahe shān-e-talāqat lafz-o-ma.anī haiñ ki gul-būTe

    zahe auj-e-hazāqat jaan de murda hikmat ko

    ye mumkin hai ki qaumoñ ko miTā de gardish-e-ālam

    magar koī miTā saktā nahīñ urdu azmat ko

    har ik tahrīk is tarjumān jazb-e-kāmil hai

    ki har āhañg-e-urdu hamnavā-e-barbat-e-dil hai

    farogh-e-chashm hai taskin-e-dil hai be-guman urdu

    har ek aalam mein hai goya bahaar-e-gul-fishan urdu

    koi dekhe to is ki quwwat-e-taKHliq ka aalam

    bana sakti hai zer-e-charKH lakhon aasman urdu

    muqallid jo nahin is ka wo pahunchega na manzil par

    sar-e-har-jada-e-manzil hai mir-e-karwan urdu

    muhafiz apni quwwat se hai tahzib-o-tamaddun ki

    na kyun ho irtiqa-e-zindagi ki raaz-dan urdu

    gulistan-e-adab mein jis qadar the muntashir jalwe

    munazzam kar chuki hai un ko misl-e-jism-o-jaan urdu

    faza-e-ilm-o-fan par ye misal-e-abr chhai hai

    mazaq-e-justuju ban kar rag-e-dil mein samai hai

    zabanen aur bhi duniya mein kuchh garmi-e-mahfil hain

    magar manzil hai urdu aur wo sab gard-e-manzil hain

    har ek andaz raushan har bayan pur-kaif hai is ka

    adaen jis qadar bhi hain wo sharh-e-jazba-e-dil hain

    zamin-e-sher is ki ek chaman-zar-e-mohabbbat hai

    hain jitne git wo sab naghma-e-fitrat ka hasil hai

    riyazi ho ki mantiq falsafa ho ya tasawwuf ho

    sab is ki bazm mein maujud hain aur jaan-e-mahfil hain

    mili hain jalwa-e-fitrat ki sab ranginiyan is ko

    muraqqe is ke sine se laga lene ke qabil hain

    riwaj is ka jahan ki wusaton mein be-takalluf hai

    ye pakiza zaban hai aur latif is ka tasarruf hai

    miTa sakta hai kaun aisi zaban-e-pak-fitrat ko

    daya dars-e-wafa jis ne mazaq-e-mulk-o-millat ko

    jumud-e-zindagi mein hashr barpa kar diya is ne

    ata ki hain isi ne bijliyan ehsas-e-ulfat ko

    nizam-e-zindagani par baDa ehsan hai is ka

    bahut aasaniyan is mein milen tabligh-e-fitrat ko

    rahe shan-e-talaqat lafz-o-mani hain ki gul-buTe

    zahe auj-e-hazaqat jaan de di murda hikmat ko

    ye mumkin hai ki qaumon ko miTa de gardish-e-alam

    magar koi miTa sakta nahin urdu ki azmat ko

    har ek tahrik is ki tarjuman jazb-e-kaamil hai

    ki har aahang-e-urdu hamnawa-e-barbat-e-dil hai

    related content

    Nazm

    chahaton ka jahan hai urdu

    chahaton ka jahan hai urdu

    Krishna Mohan

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now