urdu zaban bolo
ai mere pyāre bachcho ai mere achchhe bachcho
urdu zabān bolo urdu zabān bolo
urdu zabān aisī jo bolnā sikhā.e
muñh meñ sabhī ke vo to ras gholnā sikhā.e
is ke hurūf motī alfāz phuul jaise
zehnoñ meñ sab ke ḳhushbū ko chhoḌnā sikhā.e
chāho agar salīqa urdu zabān sīkho
urdu zabān bolo urdu zabān bolo
urdu ke sher saare dekho haiñ kitne pyāre
urdu ġhazal haiñ sunte insān dekho saare
bachchoñ kī chhoTī nazmeñ dekho haiñ kitnī pyārī
har ek bachcha in se letā hai lutf pyāre
motī haiñ ye adab ke hāthoñ se in ko rolo
urdu zabān bolo urdu zabān bolo
hai bolne meñ mīThī likhne meñ ye hasīñ hai
andāz is kā pyārā ye ḳhud bhī dil-nashīñ hai
duniyā kī har zabāñ kī is meñ to ḳhūbiyāñ haiñ
hai husn kā ye mehvar shak is meñ kuchh nahīñ hai
qudrat kā hai ye tohfa ne.amat ḳhudā kī samjho
urdu zabān bolo urdu zabān bolo
jo urdu zabān bole sab ko hai vo to pyārā
sab is se pyaar karte āñkhoñ kā sab kī taarā
bole hai jab vo urdu muñh se haiñ phuul jhaḌte
māñ-bāp kā chahītā ustād kā dulārā
urdu se kitnī shafqat us ne hai paa.ī dekho
urdu zabān bolo urdu zabān bolo
ai mere pyare bachcho ai mere achchhe bachcho
urdu zaban bolo urdu zaban bolo
urdu zaban aisi jo bolna sikhae
munh mein sabhi ke wo to ras gholna sikhae
is ke huruf moti alfaz phul jaise
zehnon mein sab ke KHushbu ko chhoDna sikhae
chaho agar saliqa urdu zaban sikho
urdu zaban bolo urdu zaban bolo
urdu ke sher sare dekho hain kitne pyare
urdu ghazal hain sunte insan dekho sare
bachchon ki chhoTi nazmen dekho hain kitni pyari
har ek bachcha in se leta hai lutf pyare
moti hain ye adab ke hathon se in ko rolo
urdu zaban bolo urdu zaban bolo
hai bolne mein miThi likhne mein ye hasin hai
andaz is ka pyara ye KHud bhi dil-nashin hai
duniya ki har zaban ki is mein to KHubiyan hain
hai husn ka ye mehwar shak is mein kuchh nahin hai
qudrat ka hai ye tohfa neamat KHuda ki samjho
urdu zaban bolo urdu zaban bolo
jo urdu zaban bole sab ko hai wo to pyara
sab is se pyar karte aankhon ka sab ki tara
bole hai jab wo urdu munh se hain phul jhaDte
man-bap ka chahita ustad ka dulara
urdu se kitni shafqat us ne hai pai dekho
urdu zaban bolo urdu zaban bolo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.