urdu zaban
vo to ābād rakhā ham ne jahān-e-urdu
varna tum kab kā miTā dete nishān-e-urdu
na siyāhī kā samundar na falak sā kāġhaz
kaise likkhe koī tārīf-e-zabān-e-urdu
ham pe tum faḳhr karo hind ke rahne vaalo
ham se qaa.em hai zamāne meñ nishān-e-urdu
ye hai tahzīb kī devī ye adīboñ kī zabāñ
be-adab kaise bhalā jāneñge shān-e-urdu
talḳh bātoñ ko bhī narmī se nibhā letī hai
kitnī ma.asūm tabī.at hai zabān-e-urdu
mushk-o-ambar kī mahak aatī hai bām-o-dar se
aise lafzoñ se muzayyan hai makān-e-urdu
aise urdu ko rag-e-jāñ meñ samo lo 'āmir'
ye zamāna tumheñ kahne lage jān-e-urdu
wo to aabaad rakha hum ne jahan-e-urdu
warna tum kab ka miTa dete nishan-e-urdu
na siyahi ka samundar na falak sa kaghaz
kaise likkhe koi tarif-e-zaban-e-urdu
hum pe tum faKHr karo hind ke rahne walo
hum se qaem hai zamane mein nishan-e-urdu
ye hai tahzib ki dewi ye adibon ki zaban
be-adab kaise bhala jaanenge shan-e-urdu
talKH baaton ko bhi narmi se nibha leti hai
kitni masum tabiat hai zaban-e-urdu
mushk-o-ambar ki mahak aati hai baam-o-dar se
aise lafzon se muzayyan hai makan-e-urdu
aise urdu ko rag-e-jaan mein samo lo 'amir'
ye zamana tumhein kahne lage jaan-e-urdu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.