urus-ul-bilad
vasī.a shahr meñ ik chīḳh kyā sunā.ī de
basoñ ke shor meñ railoñ kī gaḌgaḌāhaT meñ
chahal-pahal meñ bhiḌoñ jaisī bhanbhanāhat meñ
kisī ko pakḌo sar-e-rāh maar do chāhe
kisī afīfa kī ismat utaar do chāhe!
vasī.a shahr meñ ik chīḳh kyā sunā.ī de!
aziim shahr baḌe kāmoñ ke liye haiñ miyāñ
vazīr-e-ālā kī taqrīr, leaderoñ ke julūs
siyāsatoñ ke mazāhir, ḳhulūs bahr-e-ḳhulūs
ye rat-jagoñ kī jagah, nāv-nosh kā gaḌ.h hai
ye tum se kis ne kahā ilm o hosh kā gaḌ.h hai
abhī abhī shah-e-qufqāz aa.e haiñ dekho
muazzizīn-e-urūs-ul-bilād sab mil kar
sipās-nāma unheñ is tarah kareñge pesh
ki jaise dil kī kalī phuul ho ga.ī khil kar
phir is ke ba.ad kisī bank ke baḌe kartā
koī safīr kisī desh ke na.e mukhiyā
mushīr-e-sanatī mansūba-bandiyoñ ke liye
jatan saqāfatī ā.īna-sāziyoñ ke liye
baḌe plān, baḌī yojnā, baḌī bāteñ
ziyāfateñ baḌe hotel, baḌī baḌī ghāteñ!
aziim shahr baḌe kāmoñ ke liye hai miyāñ!
yahāñ mazār haiñ un ke bhī jin ke naam nahīñ
sunahrī shahr kī tasḳhīr karne aa.e the
unheñ shikam se bahut duur aage jaanā thā
vo is jahān kī ta.amīr karne aa.e the!
baḌe dimāġh the tabba.a the zahīn the sab
magar siyāsat-e-duniyā meñ kam-tarīn the sab
aziim shahr baḌe kāmoñ ke liye haiñ miyāñ
shikast-e-dil koī roket hai jo dikhā.ī de
aziim shahr meñ ik chīḳh kyā sunā.ī de!
wasia shahr mein ek chiKH kya sunai de
bason ke shor mein railon ki gaDgaDahaT mein
chahal-pahal mein bhiDon jaisi bhanbhanahat mein
kisi ko pakDo sar-e-rah mar do chahe
kisi afifa ki ismat utar do chahe!
wasia shahr mein ek chiKH kya sunai de!
azim shahr baDe kaamon ke liye hain miyan
wazir-e-ala ki taqrir, leaderon ke julus
siyasaton ke mazahir, KHulus bahr-e-KHulus
ye rat-jagon ki jagah, naw-nosh ka gaDh hai
ye tum se kis ne kaha ilm o hosh ka gaDh hai
abhi abhi shah-e-qufqaz aae hain dekho
muazzizin-e-urus-ul-bilad sab mil kar
sipas-nama unhen is tarah karenge pesh
ki jaise dil ki kali phul ho gai khil kar
phir is ke baad kisi bank ke baDe karta
koi safir kisi desh ke nae mukhiya
mushir-e-sanati mansuba-bandiyon ke liye
jatan saqafati aaina-saziyon ke liye
baDe plan, baDi yojna, baDi baaten
ziyafaten baDe hotel, baDi baDi ghaten!
azim shahr baDe kaamon ke liye hai miyan!
yahan mazar hain un ke bhi jin ke nam nahin
sunahri shahr ki tasKHir karne aae the
unhen shikam se bahut dur aage jaana tha
wo is jahan ki tamir karne aae the!
baDe dimagh the tabba the zahin the sab
magar siyasat-e-duniya mein kam-tarin the sab
azim shahr baDe kaamon ke liye hain miyan
shikast-e-dil koi roket hai jo dikhai de
azim shahr mein ek chiKH kya sunai de!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.