is chhaaliya ke peD ke niche
is chhāliyā ke peḌ ke nīche ḳhudā-gavāh
mujh par nuzūl rahmat-o-ijlāl-e-haq huā
aur yuuñ huā ki mujh pe zamīñ khol dī ga.ī
aur āsmān sar pe musallat nahīñ rahā
aur ye kahā gayā ki jo ghar loTiye to phir
hāthoñ meñ dhuup le ke muñDeroñ pe Dāliye
miTTī ugā.iye ki zamīñ shora-pusht hai
aur ye ki mīsh-o-ablaq-o-ushtar ke vāste
do chhāliyā ke peḌ mazāroñ ke tiin phuul
aur ek aañkh jis pe jahān-e-abas khule
vaise to ghar tak aa ga.ī saa.at zavāl kī
is chhaaliya ke peD ke niche KHuda-gawah
mujh par nuzul rahmat-o-ijlal-e-haq hua
aur yun hua ki mujh pe zamin khol di gai
aur aasman sar pe musallat nahin raha
aur ye kaha gaya ki jo ghar loTiye to phir
hathon mein dhup le ke munDeron pe Daliye
miTTi ugaiye ki zamin shora-pusht hai
aur ye ki mish-o-ablaq-o-ushtar ke waste
do chhaaliya ke peD mazaron ke tin phul
aur ek aankh jis pe jahan-e-abas khule
waise to ghar tak aa gai saat zawal ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.