uske nam jo mujhe nahin jaanti
nahīñ 'hamesh' aisā mat hone do
abhī to tumheñ ism denā hai
us roTī ke TukḌe ko
jise duniyā bhar kī bhuuk se churāyā gayā
aur ġharībī kis desh kī dev-mālā hai
tumheñ ism denā hai
naujavānī ke dinoñ kī us umañg ko
yā is ke naam ke peḌ kī TuuTī huī ek pattī ko
yā adhūrī sachchā.iyoñ ke naam par jalā.ī ga.ī kitāboñ ko
dekho haañ abhī abhī ek ḳhayāl miTTī par rakkhā gayā hai
kahīñ use lā-vatan na kar diyā jaa.e
mokhoñ par hañsne ke liye bhī to ek hī jaisī hañsī rah ga.ī hai
yahāñ tak ki bijlī chalī jaatī hai aur andesha hotā hai ki us arse meñ maiñ us āvāz meñ
billī ke panjoñ panjoñ se khuruñchne vaalī saffākī baḌh ga.ī ho
ek aadmī kā dil hai ki āsānī se nahīñ mantā
varna auratoñ gāliyoñ se kutte billī to mar hī jaate haiñ
ye jānte hue bhī ki mohabbat ko adākāriyoñ se bachā.e rakhne ke liye tumheñ intizār karnā hai
nahin 'hamesh' aisa mat hone do
abhi to tumhein ism dena hai
us roTi ke TukDe ko
jise duniya bhar ki bhuk se churaya gaya
aur gharibi kis desh ki dew-mala hai
tumhein ism dena hai
naujawani ke dinon ki us umang ko
ya is ke nam ke peD ki TuTi hui ek patti ko
ya adhuri sachchaiyon ke nam par jalai gai kitabon ko
dekho han abhi abhi ek KHayal miTTi par rakkha gaya hai
kahin use la-watan na kar diya jae
mokhon par hansne ke liye bhi to ek hi jaisi hansi rah gai hai
yahan tak ki bijli chali jati hai aur andesha hota hai ki us arse mein main us aawaz mein
billi ke panjon panjon se khurunchne wali saffaki baDh gai ho
ek aadmi ka dil hai ki aasani se nahin manta
warna auraton galiyon se kutte billi to mar hi jate hain
ye jaante hue bhi ki mohabbat ko adakariyon se bachae rakhne ke liye tumhein intizar karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.