uske nam
vahī ġhunchoñ kī shādābī vahī phūloñ kī nik.hat hai
vahī sair-e-gulistāñ hai vahī josh-e-masarrat hai
vahī mauj-e-tabassum hai vahī andā-e-fitrat hai
vahī dām-e-taḳhayyul hai vahī rañg-e-haqīqat hai
vahī sub.h-o-masā hotī hai lekin tum nahīñ hotīñ
baḌī rañgīñ fazā hotī hai lekin tum nahīñ hotīñ
vahī maḳhmūr rāteñ ab bhī tasvīr-e-taḳhayyul haiñ
vahī dil-chasp bāteñ ab bhī tasvīr-e-taḳhayyul haiñ
vahī pur-kaif ghāteñ ab bhī tasvīr-e-taḳhayyul haiñ
sitāroñ kī barāteñ ab bhī tasvīr-e-taḳhayyul haiñ
vahī mauj-e-sabā hotī hai lekin tum nahīñ hotīñ
baḌī rañgīñ fazā hotī hai lekin tum nahīñ hotīñ
ghaTā.eñ ab bhī uThtī haiñ talātum ab bhī hotā hai
shagūfe ab bhī khilte haiñ tabassum ab bhī hotā hai
anādil ab bhī gaate haiñ tarannum ab bhī hotā hai
javānī ab bhī hañstī hai takallum ab bhī hotā hai
har ik shai ḳhush-numā hotī hai lekin tum nahīñ hotīñ
baḌī rañgīñ fazā hotī hai lekin tum nahīñ hotīñ
tumhārī yaad aise meñ satātī hai mujhe ab bhī
shab-e-tanhā.ī meñ pahroñ rulātī hai mujhe ab bhī
sabā ke dosh par aa kar jagātī hai mujhe ab bhī
havās-o-hosh se be-ḳhud banātī hai mujhe ab bhī
tamannā-e-vafā hotī hai lekin tum nahīñ hotīñ
baḌī rañgīñ fazā hotī hai lekin tum nahīñ hotīñ
junūñ-sāmāñ nazāroñ ke taqāze ab bhī hote haiñ
tamannā ab bhī hotī hai irāde ab bhī hote haiñ
zamāna ab bhī hañstā hai tamāshe ab bhī hote haiñ
nigāheñ ab bhī uThtī haiñ ishāre ab bhī hote haiñ
ḳhushī dil-āshnā hotī hai lekin tum nahīñ hotīñ
baḌī rañgīñ fazā hotī hai lekin tum nahīñ hotīñ
rahegā yuuñ laboñ par shikva-e-jaur-e-ḳhizāñ kab tak
satā.egā bhalā nāzuk diloñ ko ye jahāñ kab tak
musalsal āzmā.ish aur paiham imtihāñ kab tak
maiñ tum se duur rah kar jī sakūñgā yuuñ yahāñ kab tak
tamannā kyā se kyā hotī hai lekin tum nahīñ hotīñ
baḌī rañgīñ fazā hotī hai lekin tum nahīñ hotīñ
mujhe din raat rahtī hai tumhārī justujū ab bhī
tasavvur meñ kiyā kartā huuñ tum se guftugū ab bhī
ḳhudā shāhid hai mere dil meñ hai ye aarzū ab bhī
ki tum aa jaao chashm-e-muntazar ke rū-ba-rū ab bhī
ye ḳhvāhish bārhā hotī hai lekin tum nahīñ hotīñ
baḌī rañgīñ fazā hotī hai lekin tum nahīñ hotīñ
wahi ghunchon ki shadabi wahi phulon ki nikhat hai
wahi sair-e-gulistan hai wahi josh-e-masarrat hai
wahi mauj-e-tabassum hai wahi anda-e-fitrat hai
wahi dam-e-taKHayyul hai wahi rang-e-haqiqat hai
wahi subh-o-masa hoti hai lekin tum nahin hotin
baDi rangin faza hoti hai lekin tum nahin hotin
wahi maKHmur raaten ab bhi taswir-e-taKHayyul hain
wahi dil-chasp baaten ab bhi taswir-e-taKHayyul hain
wahi pur-kaif ghaten ab bhi taswir-e-taKHayyul hain
sitaron ki baraaten ab bhi taswir-e-taKHayyul hain
wahi mauj-e-saba hoti hai lekin tum nahin hotin
baDi rangin faza hoti hai lekin tum nahin hotin
ghaTaen ab bhi uThti hain talatum ab bhi hota hai
shagufe ab bhi khilte hain tabassum ab bhi hota hai
anadil ab bhi gate hain tarannum ab bhi hota hai
jawani ab bhi hansti hai takallum ab bhi hota hai
har ek shai KHush-numa hoti hai lekin tum nahin hotin
baDi rangin faza hoti hai lekin tum nahin hotin
tumhaari yaad aise mein satati hai mujhe ab bhi
shab-e-tanhai mein pahron rulati hai mujhe ab bhi
saba ke dosh par aa kar jagati hai mujhe ab bhi
hawas-o-hosh se be-KHud banati hai mujhe ab bhi
tamanna-e-wafa hoti hai lekin tum nahin hotin
baDi rangin faza hoti hai lekin tum nahin hotin
junun-saman nazaron ke taqaze ab bhi hote hain
tamanna ab bhi hoti hai irade ab bhi hote hain
zamana ab bhi hansta hai tamashe ab bhi hote hain
nigahen ab bhi uThti hain ishaare ab bhi hote hain
KHushi dil-ashna hoti hai lekin tum nahin hotin
baDi rangin faza hoti hai lekin tum nahin hotin
rahega yun labon par shikwa-e-jaur-e-KHizan kab tak
sataega bhala nazuk dilon ko ye jahan kab tak
musalsal aazmaish aur paiham imtihan kab tak
main tum se dur rah kar ji sakunga yun yahan kab tak
tamanna kya se kya hoti hai lekin tum nahin hotin
baDi rangin faza hoti hai lekin tum nahin hotin
mujhe din raat rahti hai tumhaari justuju ab bhi
tasawwur mein kiya karta hun tum se guftugu ab bhi
KHuda shahid hai mere dil mein hai ye aarzu ab bhi
ki tum aa jao chashm-e-muntazar ke ru-ba-ru ab bhi
ye KHwahish barha hoti hai lekin tum nahin hotin
baDi rangin faza hoti hai lekin tum nahin hotin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.