us KHwab mein
ik ḳhvāb meñ āñkheñ malte hue
ik aas kī chhāyā Dhalte hue
ik ḳhauf ke man meñ palte hue
ab moḌ ye kaisā aayā hai
sansār pe rañg sā chhāyā hai
ākāsh ke rim-jhim tāroñ ne
sau ruup dikhātī bahāroñ ne
sāgar ke palaTte dhāroñ ne
ik baat kahī ik maan diyā
tan-man ko anokhā gyaan diyā
ik jot jagā.ī jīvan meñ
ik rañg utārā darpan meñ
ik ḳhvāb khilāyā hai man meñ
is ḳhvāb meñ jiinā marnā hai
ab kaam yahī bas karnā hai
ek KHwab mein aankhen malte hue
ek aas ki chhaya Dhalte hue
ek KHauf ke man mein palte hue
ab moD ye kaisa aaya hai
sansar pe rang sa chhaya hai
aakash ke rim-jhim taron ne
sau rup dikhati bahaaron ne
sagar ke palaTte dhaaron ne
ek baat kahi ek man diya
tan-man ko anokha gyan diya
ek jot jagai jiwan mein
ek rang utara darpan mein
ek KHwab khilaya hai man mein
is KHwab mein jina marna hai
ab kaam yahi bas karna hai
- Book : Tabani (Pg. 90)
- Author : Mubeen Mirza
- Publication : Academy Bazyaft (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.