uski yaad mein
Interesting Fact
(Monthly: Kitab, Islamabad, January 4, 2014)
mujhe jis ko dekhe hue
aaj hai solahvāñ din
ghaḌī-dar-ghaḌī yaad us kī
mire zehn meñ dā.ere bun rahī hai
ki jaise kisī sabz-o-shādāb vaadī kī pahnā.iyoñ meñ
ho ik chashma-e-āb-e-haivāñ
musalsal gireñ jis meñ kankar
baneñ naġhma-e-mauj kī taal par nanhe munne hayūle
baneñ ban ke bikhreñ bikhar ke baneñ
faqat solahvāñ roz hai aur maiñ
us kī yādoñ ke qile meñ mahsūr huuñ is tarah
jis tarah chashm-e-yāqūb meñ
us ke beTe kī sūrat munaqqash huī thī
mujhe jis ko dekhe hue
aaj hai solahwan din
ghaDi-dar-ghaDi yaad us ki
mere zehn mein daere bun rahi hai
ki jaise kisi sabz-o-shadab wadi ki pahnaiyon mein
ho ek chashma-e-ab-e-haiwan
musalsal giren jis mein kankar
banen naghma-e-mauj ki tal par nanhe munne hayule
banen ban ke bikhren bikhar ke banen
faqat solahwan roz hai aur main
us ki yaadon ke qile mein mahsur hun is tarah
jis tarah chashm-e-yaqub mein
us ke beTe ki surat munaqqash hui thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.