us roz tum kahan the
jis roz dhuup niklī
aur log apne apne
ThanDe gharoñ se bāhar
hāthoñ meñ Daale
sūraj kī samt nikle
us roz tum kahāñ the
jis roz dhuup niklī
aur phuul bhī khule the
the sabz baaġh raushan
ashjār ḳhush hue the
pattoñ kī sabz ḳhushbū
jab sab gharoñ meñ aa.ī
us roz tum kahāñ the
jis roz āsmāñ par
manzar chamak rahe the
sūraj kī sīḌhiyoñ par
uḌte the Dheroñ panchhī
aur saaf ghāTiyoñ par
kuchh phuul bhī khule the
us roz tum kahāñ the
jis roz dhuup chamkī
aur fāḳhta tumhāre
ghar kī chhatoñ pe bolī
phir mandiroñ meñ aa.iiñ
ḳhushbū bharī havā.eñ
aur nanhe-munne bachche
tab āñganoñ meñ khele
us roz tum kahāñ the
jis roz dhuup niklī
jis roz dhuup niklī
aur alganī pe Daale
kuchh sūkhne ko kapḌe
jab apne ghar kī chhat pe
ḳhāmosh maiñ khaḌā thā
tanhā udaas beleñ
aur dopahar ke panchhī
kuchh mujh se pūchhte the
us roz tum kahāñ the
jis roz dhup nikli
aur log apne apne
ThanDe gharon se bahar
hathon mein Dale
suraj ki samt nikle
us roz tum kahan the
jis roz dhup nikli
aur phul bhi khule the
the sabz bagh raushan
ashjar KHush hue the
patton ki sabz KHushbu
jab sab gharon mein aai
us roz tum kahan the
jis roz aasman par
manzar chamak rahe the
suraj ki siDhiyon par
uDte the Dheron panchhi
aur saf ghaTiyon par
kuchh phul bhi khule the
us roz tum kahan the
jis roz dhup chamki
aur faKHta tumhaare
ghar ki chhaton pe boli
phir mandiron mein aain
KHushbu bhari hawaen
aur nanhe-munne bachche
tab aanganon mein khele
us roz tum kahan the
jis roz dhup nikli
jis roz dhup nikli
aur algani pe Dale
kuchh sukhne ko kapDe
jab apne ghar ki chhat pe
KHamosh main khaDa tha
tanha udas belen
aur dopahar ke panchhi
kuchh mujh se puchhte the
us roz tum kahan the
- Book : Prindey,phool taalab (Pg. 381)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.