us samne baiThi laDki se
us sāmne baiThī laḌkī se
dil chāhtā hai ik baat karūñ
vo baat ki jis kī kirnoñ se
har samt ujālā ho jaa.e
ye habs jo har sū phailā hai
ḳhushbū kā havāla ho jaa.e
us chandan mūrat laḌkī kī
mahkār hai saare kamre meñ
ḳhāmosh hai vo phir bhī us kī
chahkār hai saare kamre meñ
dil hī dil meñ dil kī bāteñ
rozāna kahtā huuñ us ko
gum-sum gum-sum hairāñ hairāñ
bas dekhtā rahtā huuñ us ko
kuchh dhīme dhīme se fiqre
hoñToñ se gurezāñ rahte haiñ
kuchh dhuñdle dhuñdle se sapne
āñkhoñ meñ pareshāñ rahte haiñ
kuchh bhole-bhāle se armāñ
bechain haiñ mere siine meñ
jis din se aisī hālat hai
ik lazzat sī hai jiine meñ
us ke rañgīn ḳhayāloñ meñ
har ḳhvāb ko chehra mil jaa.e
har lamha us kī sūrat ho
har phuul ḳhushī se khil jaa.e
na jaane kyoñ phir bhī jaise
ik pyaas hai merī āñkhoñ meñ
har ḳhvāb adhūrā rahne kā
ehsās hai merī āñkhoñ meñ
jo ḳhvāb hai palkoñ par raqsāñ
ta.abīr kiyā jaa.e kaise
jo zehn meñ ek tasavvur hai
tasvīr kiyā jaa.e kaise
ab kyoñ na is tanhā.ī ko
gulzār-e-mohabbat hī samjhūñ
un hoñToñ kī ḳhāmoshī ko
iqrār-e-mohabbat hī samjhūñ
un āñkhoñ se jugnū le kar
raushan apne din raat karūñ
us sāmne baiThī laḌkī se
dil chāhtā hai ik baat karūñ
us samne baiThi laDki se
dil chahta hai ek baat karun
wo baat ki jis ki kirnon se
har samt ujala ho jae
ye habs jo har su phaila hai
KHushbu ka hawala ho jae
us chandan murat laDki ki
mahkar hai sare kamre mein
KHamosh hai wo phir bhi us ki
chahkar hai sare kamre mein
dil hi dil mein dil ki baaten
rozana kahta hun us ko
gum-sum gum-sum hairan hairan
bas dekhta rahta hun us ko
kuchh dhime dhime se fiqre
honTon se gurezan rahte hain
kuchh dhundle dhundle se sapne
aankhon mein pareshan rahte hain
kuchh bhole-bhaale se arman
bechain hain mere sine mein
jis din se aisi haalat hai
ek lazzat si hai jine mein
us ke rangin KHayalon mein
har KHwab ko chehra mil jae
har lamha us ki surat ho
har phul KHushi se khil jae
na jaane kyon phir bhi jaise
ek pyas hai meri aankhon mein
har KHwab adhura rahne ka
ehsas hai meri aankhon mein
jo KHwab hai palkon par raqsan
tabir kiya jae kaise
jo zehn mein ek tasawwur hai
taswir kiya jae kaise
ab kyon na is tanhai ko
gulzar-e-mohabbat hi samjhun
un honTon ki KHamoshi ko
iqrar-e-mohabbat hi samjhun
un aankhon se jugnu le kar
raushan apne din raat karun
us samne baiThi laDki se
dil chahta hai ek baat karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.